ub tu itbaar hu gaya hai

ub tu itbaar hu gaya hai
ub tu itbaar hu gaya hai tum ko meri muhabat ka.

malne k laye yun naqaab ord kar aya na karo.
  

May, 28 2010     97 chars (1 sms)     2113 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Shaam hotay hee woh chokhat par jala kar shamma
Apni aplkon pay kai khwab sajati ho gee
Is nay silwa bhi liye hongay siyah rang k libaas
Ab moharam k tarah eid manati ho gee
Meray tareek zamanay say nikalnay wali
Roshni tujh ko meri yaad dilate ho gee
Dil ki masoom raggin khud he sulagti ho gee
Jonhi tasveer ka kona woh jalati ho gee
Roop day kar mujhay is mein shezaday ka
Apnay bachon ko kahani woh sunati hogee
Zindagi se bas yehi gila hai,
Khushi ke baadh kyu gham mila hai.
Humne to unse wafaa hi ki thi,
Par nahi jaante the
ki wafa kaa bewafaai hi silaa hai.
kub kaha tha nazaron se khuof ata hai.
hume tu chand sitaron se khuof ata hai.
mile hain doston se ghum itne ..
mare badan ko saharon se khuof ata hai.
wafa nibhany ki
jo Qeemat
mujy ada karna pari hai
us sy mujy
aisa lagta hai
jasy
mera wajooooooooood
kisi haqeer tinky ki tarah
ider uder
hawa ma
bikhar raha hai………!
Halat-e-dil bhi kia ajab ho gi,
Bat meri jo zeir-e-lab ho gi,

Tm aty ho to phool khilty hain ,
Or is dil ki kia talab ho gi ,

Wada pyar ka jb wafa hoga,
Or kitni taveel wo shab hogi,
Apni haar main kitna sakoon tha ''faraz''

us Shakhs ne jb Galy Lagaya Jeetnay k Baad.
Kash Hum Bezubaan Hote
Naa Fir Gham Yun Bayaan Hote
Kash Naa Hoti Zindagi Ki Samajh
Naa Fir Yun Afsaane Jawaan Hote
Kash Naa Khwahish Hoti Kuch Paane Ki
Naa Fir Kuch Khone K Gham Yahan Hote
Gar Tod Jaata Koi Ashiyaan Humara
Fir Bhi Khoobsurat Saare Samaan Hote
Lut Jaati Gar Roshni-E-Zindagi
Fir Bhi Andhere Naa Yahan Hote
Toot-Te Hue Bhi Be-Shubhaah Hote
Kash Hum Bezubaan Hote !!
Woh Ishq jo hum se rooth geyya ab uss ka haal batayyen kiya
koi meher nahi koi qeher nahi phir sachha shayr sunayyen kiya
Kisiki mohabat se hamne kya paya,

raat ki neend aur din ka chain gawaya.

kya kare hum is dil ka jise

aaj barbaad ho kar bi hosh na aaya.
Yun hi intezar karta raha or waqt dhalta raha
mere intezar ka sooraj her lamha pighalta raha

tay to yeh hua tha key payen gay aik hi manzil
beech rah main woh mukar geya soo-e-manzil main chata raha

kabi us key liye hans diye kabi us key liye ro diye
woh khud ko to na badal saka bus mujh ko he badalta raha

ab tak kaise chup raha yeh mut pooch Majid
waqt mujhay behlata raha or main behelta rah
tum mujh say juda hokar phir yaad bht aaye
har shaam ko aangan may jab phel gaye saye

is shehar ka lagta hay shewah hi nahi milna
har taraf hain band galyan koi kis tarha mil paye
yeh jurm hamara hay such hum nay kaha tumsay
bakhsha hai thokroon nay sanbhalnay ka husla,

har hadsa khayal ko gehrai day gaya..