Kitni mohbhat hai tumse

Kitni mohbhat hai tumse
Kitni mohbhat hai tumse humse bataya na gaya,

shyad tum samaj n sake ya humi se samjaya n gaya.

Tumne karib aane ki koshish na ki

aur humse haath badhaya na gaya.
  

Jun, 04 2010     171 chars (2 sms)     1974 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Abb khawabo mein ristey banata hu,terey daman ko or karib pata hu,rahein ulfat muskil hai magar Kanchi teri yadon se apni sansey chalata hu!!
Apni Merzi Say Juda Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi
Shayad Ab K Bewafa Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi

Dekhna Hum Ek Din Gard-e-Safar Hojayein Gay
Rastoun Say Ashana Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi

Gardish-e-Halaat Se Bas Kat Gaye Hain Rastay
Qabil-e-Qaid-o-Saza Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi

Kia Khaber Thi Is Qadar Na’ashana Ho Jayein Gay
Ajj Kal Pechanta Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi

Fasaloun Say Bhi Guzarna Phir Zara Sa Dekhna
Aisa Lagta Hai Khafa Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi

Ek Dojay Ki Buhat Tareef Kerna Jabaja
Maan Lay Dil Ka Bura Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi
Jab tak lafz wazu nahi karte,
Hum apki guftagu nahi karte,
Kuch dil ka rishta aisa hai ap se,
Jis dua mein ap na hon,hum aisi dua nahi karte...
Arzöö-e-Dil Ne Hamay Diwana Bana Dia,

Röay Na Thay Kabhi Aap Nay Rula Dia,

Hum Nay To Her Waqat Yad Kia Lakin,

Aap Nay Yad Kartay Kartay Zamana Laga Dia.
aaj hum unhe bewafaa bata kar aaye hai,
unke khato ko pani mein baha kar aaye hai,
koi nikaal kar padh na le unhe,
isliye pani mein bhi aag laga kar aaye hai
kuch is liye b wo hum se khafa raha

amir

wo jan gya tha k humain un se pyar buhat hai...
Na karo ham say rag-o-jaan mein samaany ki baatein

Khultay nahin ham kisi pay aagahi ki hadd tak!
Mushqilo mein bhaag jaana asaan hota hai
har pehlu zindgi ka imtihaan hota hai
darne wale ko kuch nahi milta zindgi mein
aur ladne walo ke kadmo mein jahaan hota hai.
Wo Jazbon Ki Tijarat Thi Yeh Dil Kuch AUr Samjha Tha
Usey Hasney Ki Aadat Thi Yeh Dil Kuch Aur Samjha Tha
Mujhe Uss Ne Kaha Chalo Nayi Duniya Basaty Hain
Usey Soji SHararat Thi Yeh Dil Kuch AUr Samjha Tha
Hamesha Uski Aankho Mein Dhank Se Rang Hoty Thy
Yeh Us Ki Aam Haalat Thi Yeh Dil Kuch Aur Samjha Tha
Mein Uske Pass Baithi Dair Tak Ghazlain Uski Sunti Thi
Usey Khud Se Mohabbat Thi
“Yeh Dil Kuch Aur Samjha Tha“
mjbooriya''n kahen k isy saadgi kahen...

jis ne b hns k baat ki hum sath ho lye!!
Jo dard k Sehra mein akela b bohat hai
Uske liye Dewar ka say ab bohat hai
Dekha nahi tum ne usko tanhai mein
Bichry huy logon ko wo roya b bohat hai
Kuch tujhko wafa pe Yakeen Na Tha
Kuch Dukh meri taqdeer mein likha bohat hai
Tere Khuabon ki Duniya or mein Tanha!
Raat Sumandar Chand Hawa or mein Tanha!
Koi to kash mera Bhi Gham saaz bane !
Mujh se sare loog khafa or mein tanha!