HONTO SMS Messages119 messages

APNE HONTON PAR SAJANA CHAAHTA HOON
AA TUJHE MEIN GUN-GUNAANA CHAAHTA HOON

KOI ANSU TERE DAMAN PAR GIRA KAR
BUND KO MOTI BANAANA CHAAHTA HOON

"THAK GAYA MEIN KARTE KARTE YAAD TUJH KO"
"AB TUJHE MEIN YAAD ANA CHAAHATA HOON"

CHHAA RAHA HAI SARI BASTI MEIN ANDHERA
ROSHNI HO GHAR JALAANA CHAAHATA HOON

AKHIRI HICHKI(HIDCHKI) TERE ZANOO PE AEY
MAUT BHI MEIN SHAYRAANA CHAAHTA HOON
Kiya kabhi TU nay
yeh bi socha hai
kay…!!!
RAAT kay Aakhari peher main
koi...!!!
NUM Aankhon say
LARAZTAY HONTO’on say
Apney Haath Phailaaye
TUJH ko "KHUDA" say maang raha ho ga...!!!
Hum Na Samjhe Thay Teri Nazro’n Ka Taqaza Kia Hai
Kabhi Jalwa Kabhi Parda Ye Tamasha Kia Hai

Mujh Ko Madhosh Sa Kr Rakha Hai Teri Aankhon Ne
Werna Saaqi Tere Maikhaane Main Rakha Kia Hai

Dekh Le Laila Tere Majnu Ka Kaleja Kia Hai
Khaak Main Mil K B Kehta Hai Bigra Kia Hai

Ye Suraahi Sa Badn Le Ker Maire Saamne Na Aa
Main Sharabi Hoon Sharabi Ka Bharosa Kia Hai

Apne HONTOn Ko Maire HONTOn Se Chonay Na De
Ek Do Ghoont Se Botal Ka Bigarta Kia Hai
Kiya kabhi TU nay
yeh bi socha hai
kay…!!!
RAAT kay Aakhari peher main
koi...!!!
NUM Aankhon say
LARAZTAY HONTO’on say
Apney Haath Phailaaye
TUJH ko "KHUDA" say maang raha ho ga...!!!
dil zakham zakham hai toh ankhein be ashqbaar hein
kitna fareb khaye mohabat o pyar mein

ankhein dasht dasht hein dil bi dukha houa
guzra tha aj wo be humein dekhta houa

HONTOon pe muskurahat ankhoon mein hai nami si
wo samney hai phir be hai kuch kami si

tum moonh se na bolo ankhein toh batati hein
kya jee mein tumarey hai hum khoob samajtey hein

ankhein hazar sabar ki koshish ke bawjood
ruk ruk ke baar baar barasti hein ajj bi

khushk ankhoon ki lakeerein pata deti hein
karwan_e_gham ka isi rah se guzr hoga!!.
"Mudaato se mera dil hain k abad nahi hain
HONTOn pe mager aaj bhi feryad nahi hain
Aata hain kehyalon meh mere ek chera
Bas us k siwa kuch bhi muje yaad nahi hian
Dehka hain ujarte howi kitne Gharoo ko
Hain kon jo is ishq meh berbad nahi hian
Dil jis ki judahi meh dharakta hain sar_e_sham
wo aam (simple) sa chera hain PARI ZAAT nahi hain"
WAFA is ko nahin kehte wafa kuch or ho ti hai. Muhabbat karne walon ki ada kuch or ho ti hai. Tumhein dekha tumhein chaha tum hi se pyar kar bethe. Suno patthar k dil walon muhabbat aisi bhi hoti hai. Agar che gham ka maara hoon magar tum ko na bhoolonga. K deewano k HONTOn per dua kuch or hoti hai. Tadap uthay gi yeh duniya agar royega dil mera. K Dil se jo nikalti hai sada kuch or hoti hai.
Ek umer ke baad uss ko dekha !
Aankhoon mein sawaal thay hazarooon
HONTOon pe magar wohi tabbassum !
Chehrey pe likhi hui udaasi
Awaaz mein gunjti judaiiiii
Baanhein theen magar wasaley samaa !

Bheed Main Ek Ajnabi Ka Saamna Acha Laga
Sab Se Chup Ker Wo Kisi Ka Dekhna acha Laga


Surmayi Aankhon K Neeche Phool Se Khilne Lage
Kehte Kehte Wo Kisi Ka Sochna Acha Laga

Baat Tou Kuch Bhi Na Thi Magar Uska Ek Dum
Haath Ko HONTOn Pee Rakh Ker Rokna Acha Laga

Dil Main Kitne Ehad Bandhey Thay Bhulaane K Liye
Wo Mila Tou Saare Iraade Todna Acha Laga

Is Adoo-e-Jaan Ko Kaise Main Bura Kahoon
Jab Bhi Aaya Saamne Wo Bewafa Acha Laga
lakh caha karun izhar - e - tamanna lekin
aake HONTOn pe hi alfaaz ne dumm tor diya
paoon to utthe kaii bar tumhari janib
saath himmat ne magar raah mein hi chor diya
Yea Hii Wada Liya Tha Na
Hamesha Khush Hi Rena Hai
To Dekhoo.....Dekh Loo Aaa Kar
Mairy Ankhoo Ko Dekhoo Tum
Yea Kitni Shokh Lagti Hain
Mairy HONTOo Ko Dekhoo Tum
Hameesha Muskratey Hain
Koi Bhi Gham Aghar Aya
Ussy Hans Kar Saha Main Ney
Mairy Cherey Ko Dekhoo Tum
Hamesha Purskoon Hoo Ga
Tum Sochoo Gay
Kiya Tha Main Ney Jo Tum Say
Woo Wada Kar Diya Poora
Magar Aik Baat Hai Sanam
Kabhi Joo Waqat Mil Jayee
To Mairy Shairey Parna
Tumain Mehsoos To Ho Ga
Kehain Talkhi Bhara Lehja
Kehain Pey Sard Sa Lehja
Kehain Pey Dard Ki Jheelay
Kehain Leajhy Ki Karwahat
Snooo...............
Main Khush To Hoo Lekan
Lahoo Har Lafz Roota Hai
Lahoo Har Lafz Roota Hai
kitni mushkil se kati kal ki meri raat na pooch
dil se nikli hoee HONTOn me dabee baat na pooch

wo kis ada se mere saamnay se guzraa abhi
kis tarhan meinay sambhaly mere jazbaat na pooch

waqat jo badlay to insaan badal jaatay hain
kya nahi dikhlaatay yeh gardish-e-halaa na pooch

wo kisi ka ho bhi gaya or mujhay khabar na hoe
kis tarhan usnay churaya hai mujh se haath na pooch

Is tarhan pal mein mujhay begana kar diya usnay
Kis tarhan apno se khaee hai maen nay maat na pooch

ab tera pyaar nahi hai to sanam kuch bhi nahi
kitni mushkil se bani thi dil ki kainaat na pooch