ansoo SMS Messages182 messages

Jiski jhankar mai dil ka aram tha wo tera naam tha...
Mere honto pe raqsan o ek nam tha wo tera naam tha...
Mujh se mansoob thee dastane kaee,
khubsurat magr jo ilzam tha wo tera naam tha...

Subha se sham tak jo meray pas thi wo teri aas thi,
sham k baad jo lab-e-bam tha wo tera naam tha....
Kabhi aansoo kabhi Khushi dekhi
humne majboori aur bekasi dekhi

Chand lamhaat jeene ke liye
bechke apni zindagi dekhi

Andhere agar ghir aaye ho
tere pehloo mai raushni dekhi

Teri naraazgi ko kya samjhein
humne khud apni bebasi dekhi
Chandani raaton mein aansoo se andhera geela karna,

yehi toh ishq ka bada pyara andaz hai,

kabhi waqt mile toh mujhse bhi mohabbat karke dekhna,

teri berookiyon ko aaj bhi mera adaab hai!!
Suna Hoga Bohat Tumne
Kahin Aankho Ki Rim Jhim Ka
Kahin Palkon KI Shabnam ka
Perha Hoga Bohat Tumne
Kahin Lehje Ki Barish Ka
Kahin Sagar k ansoo Ka
Magar Tumne Kabhi Humdam
Kahin Dekhy?
Kahin Perhy?
Kisi Tehreer K Aansoo?
Mujhe Teri Judai Ne
Ye Meraj Bekhsi Hai
K Mein Jo
lai Badal barsa K Chale Jana
Furqat Ki Aziyat Mein
Kuch Saber B lazim Hai
Ye Baat mere Dil ko
Samjha K Chale Jana
Har Subah Hone Se Pehle Tera Chera Nazar Ayee
Hum Sari Sari Raat Tera Karte Rahain Dedar

Meri Ankhon Main Tum Rahoo Meri Sansoon Main Tum Rahoo
Aur Koi Batt Kare Mujh Se To Meri Batoon Main Tum Rahoo

Tujh Ko Ik Pal Bhi Idhar Se Udhar Hone Na Dengey Hum
Meri Ankhoon Main Bus Jaoo K Aur Koi Chera Nazar Na Ayee

Pholon Se Pheley Hum Dekhte Hain Jo Kantain
Hum Samjhtey Hain Terey Anaye Se Peheley Tere Phere Dar Nazar Ayee
Musalsal haadson sey bas mujhe itni shikayet hai




Ke ye aansoo baha lene ki bhi mohlat nahee dete
har lafz se us k main ne chahat ki hai
us k har vaade ki izzat ki hai
har khwab ko us k samjha hai apna
us k har ehsas ki ibadat ki hai
wo hanste hanste jo ansoo de deta hai
main ne to un ansuon se b mohabbat ki hai!!
~ Tun Bin ~
ghar aankh sey ansoo chchalak pardey,
dekhey gha nazarey falak bardey,

wo na jayein hamein chord kar, ik sheesha tord kar,
issi liye rokney ko rasta hum sham sey rasty par hein khardey
Boondain Giri To Aankh Say Aansoo Bhi Gir Gaye,


Barish Ka Uski Yaad Say Rishta Zarur Hai . . . /
Shaam-e-Fursat Dhalay, Hum Nahi Chahatay,
Ghum Say Fursat Milay, Hum Nahi Chahatay…..

Phir Naya Waar Sehne Ko taiyyar Hain,
Tu Parayshan Rahay, Hum Nahi Chahate…..

Aaj Aansoo Bahanay say, Mut Roko,
Aaj Barish Thumay, Hum Nahi Chahatay…..

Hum Teray Baad Ujray Hon, To bhi Theek Hai,
Ab Kahin Dil Lagay, Hum Nahi Chahate….. .

Teray Pekar Ko Ham Dekhte Hi Rahein,
Tu Nazar Say Hatay, Ham Nahi Chahate…..

Kis Qadar Dil Nasheen Hai Ye Moujon Ka Shor,
Ghum Ka Dariya Ruke, Ham Nahi Chahate…..

Iss Qadar Piyar say Tu Pukara na Kar,
Aag Dil Ko Lagay, Hum Nahi Chahate….
Chahat Wo Nahi Jo Jaan Deti Hai
Chahat Wo Nahi Jo Muskaan Deti Hai

Ae Dost Chahat Wo Hai
Jo Pani Mein Gira Aansoo Pehchan Leti Hein
Zabt-e-gham is qadar aasaan nahi hay Faraz ...

Aag hote hain wo Aansoo jo piye jate hain.!~