faraz SMS Messages648 messages

Yeh Sun Kar Dimagh He Ghoom Gaya faraz,



Jab Meri Dadi Ne Call Kar K Mujhse Pocha:

.
.
.
.
.

Tum FaceBook Pe Ho?
Us ne honton se choo kar pani ko gulabi kardiya

Hamari Baat to or thi ae faraz

Usne Machliyon ko bhi Sharabi Kar Diya.........
Hum to kuch dair k liye lete thy "faraz", Kisi Anni dy Puttar ne janaza perha diya
faraz na farmaya na meri phupi na mera taya ma eklaya pakistan banaya
Happy independance day
=¤ARZ KIA HAI¤=


Seene mai na rakh saka wo mere raaz ko...


"Chotiye" ne sub kuch batadia ''faraz'' ko... =P ;->
na lub se aah na dil se sada niklti hai
magr yeh baat bari dur tuk ja niklti hai
wo zindgi ho k duniya faraz kya kijye
jis se ishk karo bewafa niklti hai
yaad aya tah bicharna tera
phir nhin yaad ke kya yaad aya

jub koi zakham bhara dagh bana
jub koi bhool gaya yaad aya

ye mohabat be hai kya rog faraz
jiss ko booley wo sada yaad aya!!!
Dukh fasana nahi k tujh se kahen,
aur dil b mana nahi k tujh se kahen,

ab faraz apna bhi us gali mein,
aana jana nahi k tujh se kahen.
USS se milney ko kabi hum Jo machal Jatey hain.

To khayalo Me bahot door Nikal Jatey hain.

Gar wafaao me sadaqat b ho shiddat b.

Phir to ehsaas se pather b pighal Jateay hain.

Uski aankho k nashey me hon Jab se dooba.

Larr-kharatey hain kadam Or sanbhal Jatey hain.

bewafaai ka mujhey Jab b khayal aata hai.

Ashk rukhsaar pe aankhon se phisal Jatey hain.

Piyar me aik hi mosam hai bahaaron ka faraz.

Log moosam ki tarah kaisey badal Jatey hain.?
Kathin he rah guzar thori door saath chalo
buhat kara he safar tori door saath chalo

tamam umar kahan saath deta he
ye jaanta hoon magar'' thori door saath chalo

nashe main choor hoon main b tumhain b hosh nai
bara maza ho agar thori door saath chalo

ye ek shab ki mulaqaat b ghanimat he
kise he kal ki khabar thori door saath chalo

abhi to door hain chirag rahon ke!!!
abhi he door sahar thori door saath chalo

tawaaf e manzil e janaan hamain b karna he
faraz tum bhi agar thori door saath chalo.
Jab tera dard mere sath wafa krta hai,
Ek samander meri ankhon say baha kerta hai,
Us ki batain muje khushbu ki tarha lagti hain,
Phool jese koi sehra main khila kerta hai,
Mere pyar ki pehchan yehi kafi hai,
Wo her ek shakhs ko danista khafa kerta hai,
Aur to koi sabab us ki mohabat ka nhi,
Baat itni hai k woh muj say jafa kerta hai,
Jab khazan aee to lot aey ga wo bhi faraz ,
Wo baharon mei zara kam hi mila kerta hai.
Khud say ruthoon to kayee roz na khud say boloon
Phir kisi dard ki deewar say lag kar ro loon

Tu samander hai to phir apni sakhawat bhi dikha
Kya zaroori hai k main pyaas ka daaman kholoon

Main k ek sabr ka sehraa nazar ata hoon tujhay
Tu jo chahay to teray wastay darya ro loon

Aur meyaar rafaqat k hain aisa bhi nahin
Jo mohabbat say milay saath isi k ho loon

Khud ko umron say muqfal kiye betha hoon faraz
Who kabhi aye to khalwat-kada e jaan kholoon