hussain SMS Messages123 messages

Farsh-e-aza jahan may bichatay rahenge hum,
paigham shah-e-din ka sunatay rahengay hum,
Pyasay hussain(a.s) pyasiSakina(a.s) k naam per,
dushman b ho to pana pilatay rahenge hum..
Us Roz Ek Ghair Bhi Apna Laga Mujhay
Us ne Kaha hussain to Acha Laga Mujhay

6 Mahh Kay Sagheer Nay Kia Kad Barha Lia
Aur Woh Jo Hurmala Tha Woh Bacha Laga Mujhay
Wo jiska Mansab hi tha Imamat tu Lahja kitna Mateen hoga

Khuda ne Masoom jo banaya wo Ismaton ka Ameen hoga..

Luaab e Sarwar Lahu Ali ka .. BaTOOL ki goud .. Aur husn e Shabbar

yE saari cheezain mila kay socho hussain kitna haseen hoga !???
Khanna e rab me imamat ka ka ujala utra
daikh kar shahkle ali chand ka chehra utra
Aaj bhi kaabay k chaker me hy masroof jahan
Ajj tak mola ali taira na sadqa utra

Sadaqaton ki nishani hussain hay
duniya me inqilab ka bani hussain hy
dushman ko jis nay apney lahoo say shikast di
Woh mard e haq woh haider e sani hussain hay
Aye mavia mardood tu naakaam hogaya
Duniya main zikre Aal-e-Nabi aam hogaya
Meray hussain per hain Durodon ki barishain
laanaaat teray yazeed ka anjaam hogaya
Be Khouf Hoo Rahe Hai Azadari-e-hussain
Dil Koo Sukoon Hai K ALAMDAR Sath Hai
Sadiyon Se Ek Pal Koo Yeh Panja Na Jhuk Saka
ABBAS Tere Hath Pe ZEHRA Ka Hath Hai
Yazeed Mausam e Isyaan ka La-ilaaj Marz
hussain Khaak ko Khak e Shifa Banata Hai

Yazeed Aaj bhi bantay hai log Koshish Say
hussain Khud nahi banta Khuda Banata Hai
Momin ki har sada ko taira intezar hay
eman ki baqa ko taira intezar hy
phr sajda e hussain ki hayat hay deen ko
aa ja ka la ilha ko taira intezar hy
parda hata k daikh mairey daur k hussain
haan aab bhi karbala ko taira intezar hy
Baichain zulfiqar hy beetab murtajis
Abbas e bawafa ko taira intezar hy
Tu hi suna sakay ga sahi maqtal e hussain
Har majlis e azza ko taira intezar hy
Ghum e hussain har eik shahair har eik dariya gaya
Jahan qafila na pohncha wahan ghubbar gaya
Thi karbala me jang agar shahzadun ki
Qalam me dum hy to likhoo hussain har gaya
Khushi ki bazm main bhi ghum talaash kertay hain,
Dil-e-BATOOL s.a ka marhum talaash kertay hain,
Maza mila hay aazaa-e-hussain a.s se itna,
Hum eid main bhi muharram talaash kertay hain
Ye Aitbaar Meri Zindagi Ka Haasil Hai
Ibaadaton Ke Safar Ki hussain Manzil Hai
Namaz Main Bhi Tasavvur hussain Ka Rakho
Ya Ye Kaho Ke Nabhi Ki Namaz Baatil Hai
Kala Kala Na Kar Zeada Waiz
Jo Kehta hoo Ghaur Se Sunle
Gar Aaj Gham e hussain Me Na Roya
To Kal Mehshar Me Girgirana parega