hussain SMS Messages123 messages

Humko Ali(as) Ke Ishq Ne Aala Banaadiya!!!!
Qatra Tha hussain(as) Ne Dariya Bana Diya!!!!
Jab Maatami Libhaaz Kiya Humne Zeb-E-Tan!!!!
Humko Gham-e-hussain(as) Ne Kaaba Banadiya!!
Abhi tou zulm ka qissa tamaam hona hay.
hussainiat ko abhi gaam gaam hona hay.
Jo ho raha hay sitam uski shaam hona hay.
Karo na fikr Zahoor-e-Imam hona hay.
Hassan ko Badshah khas o Aam kehte hain
Ali ka Naaib o Qaim Muqaam kehte hain
Daleel aik hi kafi hai unki Azmat may
unhe hussain bhi apna Imam kehte hain
Zarurat Thi Talwaar Ki Na Aur Kisi Hathiyar Ki
Sirf Ek Dua Thi Karbala Main Alamdaar Ki
Fakat Mil Jaye Ijazat Aqa hussain Sai
To Yaad DilaDunga Jung Haider-e-Karrar Ki
Farzand-e-Ali Imam hussain a.s. Ne Fermaya.

Aisay Shakhs Per Zulm Keray Say Muhtat Reho Jiss Ka ALLAH K Siwa Koe Na Ho
Kul AMBIYA Ki Wafa Ko
hussain Kehte Hyn

KHUDA Ki Khaas Ada Ko
hussain Kehte Hyn

yazeed Naam Hy Dunya Ki
Kul Nijasat Ka

Taharato''n K KHUDA KO
hussain Kehte Hyn ...
Aankho''n k Sahilo''n
Pe Hy Askho''n Ka
Ek Hujoom

Shayad
GHAM-E-hussain
Ka Mausam Qareeb Hy ...
Krbala K Jaan
Nisaroon Ko
SALAM
Fatima Zahra K
Pyaroon Ko
SALAM
Jo hussaini
Qaflay Mein
Thay Shareek
Kehtay Hain
Attar
Saroon Ko
SALAM
Saba Bhi Guzry Jo Karbala Se
Tou Us Ko Kehta Hy Arsh Wala

Tu Aur Dheery Guzar Yahan Pr
Mera hussain So Raha Hy
Kausar k Saaqi ka wo
Nawasa hussain tha

Karbala k dasht main
pyasa hussain tha

Baadal yazeediat k jo
pheley chaar suu

Un main chamakta ek
sitara hussain tha

Karta wo kese haath
pe bait yazeed k

Us waqt sab se
Arfa-o-aala hussain tha

Hilney Laga Tha
Arsh-e-ELAHI bhi Us Ghari

Jab Karbal Ki Rait Pe
Tarpa hussain tha

Pardes main Shaheed
jisay kr dia gaya

Wo MUSTAFA (S.A.W) ki
aankho''n ka Tara hussain tha
Jahan Me Tazkra
Shaan-o-Seher
hussain ka Hy

Zamana Dekh Ly Kitna
Asar hussain Ka Hy

Hy Karbala Jo 72
Gulo''n Ka Guldasta

Isy Sajany Me Sara
Hunar hussain Ka Hy
Imaam hussain ki shaan Main.!!

Khoon se chirag deen ka jalaya hussain ne

Rsm-e-wafa ko khoob nibhaya hussain ne

Khud ko to ek boond b pani na mil saka

Karb o Bala ko khoon pilya hussain ne

Aise Nmaz kon prhay ga jahan me

Sjdah kia to sar na uthya Husain ne

Sb kuch Khuda ki rah m qurban kr dia

Asghr sa phool b na bachya Husain ne........!