jhoot SMS Messages105 messages

ZinDagi Mein Aisa DOST Shamil Kro
Jo Aaina Aur Saaya Ban K Sath Rahy

Kiyon K Aaina jhoot Nahi Bolta Aur Saaya Sath Nahi Chorta
Der lagi aane mein tumko shukr hai phir bhi aaye to
Aas ne dil ka saath na chhoda waise ham ghabaraaye to

Shafaq, dhanak, mahtaab, ghataayen, taare, nagmeiN, bijali, phuul
Uss daman mein kya kya kuch hai vo daman haath mein aaye to

Chahat ke badle mein hum toh bech de apni marzi tak
koi mile toh dil ka gahak, koi hamen apnaaye to

kyn ye mihr_angez tabassum madd-e-nazar jab kuch b nhi
haaye agar koi anjaan agar iss dhoke mein aa jaaye to

suni sunaai baat nahin hai apne upar beeti hai
phool nikalte hain sholoN se chahat aag lagaaye to

jhooth hai sab tareekh hamesha apne ko dohraati hai
achchha meraa khwab-e-jawani thoda sa doharaaye to

nadaani aur majbuuri mein yaaro kuch toh farq karo
ek bebas insaan kare kya tuut ke dil aa jaaye to....
aa jaye kisi din tu aisa bhe nahin lagta
lekan woh tera wada jhoota bhe nahin lagta
milta hy sakoon dil ko us yaar k koochay main
har roz magar jana acha bhe nahin lagta
dekha hy tujhy jab se bechain bhut hy dil
kahny ko koi tujh se rishta bhe nhi lagta
Apni Aakhon Ke Samunder Main Utar Jaane De
Tera Mujrim Hoon, Mujhe Dub Ke Mar Jaane De
Zakham Kitne Teri Chaahat Se Mile Hain Mujhko
Sonchta Hoon Kahoon Tujhse, Magar Jaane De

Aarzoo jhooth hai,
Aarzoo ka fareb khana nahi ..
Khush jo rahna ho zindagi me tumhe..
Dil kabhi kisi se lagana nahi.

Ek pal mein jo aakar gujar jaaye
Yeh hawa ka woh jhoka hai ..aur kuch nahi
Pyar kahti hai duniya jise,
Ek rangeen dhokha hai .. Aur kuch nahi

Asmaan bhi baras raha hai,
Mere Ashko se takra raha hai,
Kisme hai jor jyada shayad yeh dekh raha hai,
Barsaat to phir bhi ruk jayegi,
Mere Ashko ka koi anth nahi,
Dil me hai dard itne jiska koi hisaab nahi.
Kon karta hy wafaon k taqazy Tum sy faraz,


Hum to ik jhooti tasalli k talabgar hain bus...
A Married Man Have An Affair Wth His Secretary One Day They Went On Date & Spent So Much Time That It Became 8PM While Returning Home Man Rubbed His Shoes & Cloths Grass & Dirt At Home, Wife Asked "Where You Were ? He Replied, I Cant Lie To U, I'm Heaving An Affair And Coming From Date Wife Looked At Him & Shouted jhootay! Cricket Khail K Aa Rahay Ho Na . . .
Koi tumse puche kon hoon main
Tum keh dena koi khaas nahi
Ek dost hai kacha paka sa
Ek jhoot hai aadha sacha sa
Ek khuwab adhoora poora sa
...Ek phooL hai rookha sookha sa
Ek sapna hai bin socha sa
Ek apna hai an dekha sa
Ek rishta hai an jana sa
Haqiqat men afsana sa
Kuch pagaL sa deewana sa
Bas ek bahana achha sa
Jeevan ka aisa sathi hai
Jo door ho k bhi paas nhi
Koi Tumse puche kon hoon main?
Tum keh dena koi khaas Nahi.
Chalo Hum Maan Lete Hain,
Ye Duniya jhoot Kehti Hy,
…Tumhe Hum Se Nahi Ulfat,
Chalo Hum Maan Lete Hain,
Tumhari Be’qrari Ki,
Wajha Kuch Aur Hi Hogi,
Nigaahen Mujse Milte Hi,
Tumhare Muskrane Ka,
Sabab Kuch Aur Hi Hoga,
Jise Km’fehm Logon Ne,
Mohabbat Naam De Daala,
Mgr Itna Bataa Do Tum,
Bicharte Waqt Jan-E-Jaan!
Palat Kr Dekh K Hum Ko,
Tumhari Jheel Si Aankhen,
Chalakti Ja Rhi Thi Kyun…??
Hame Tarpaa Rhi Thi Kyun…….?
Mo'azaz ban ke mehfil main adaakari nahi karta
Main chehre pe kabhi jhooti aayinaa taari nahi karta

Mera dushman mere dastoor se waaqif nahi shayad
Jisse main dost keh doon us se ghaddari nahi karta

Yahan behtar hai apni zaat ka hamdard ho jana
Zamana ghum to de sakta hai ghumkhari nahi karta

Mujhy mo'Qa shanasi ka hunar ayaa nahi ab tak
Jahan matlab nikaLta ho samajhdari nahi karta.........!!!!!!!!!!!!!
Sardar: Kal koi mera purse maar gaya us mein 2000 rupees thy,

Pathan: jhooty,1500 thy maine ghar ja kar khud giny thy.

Sardar: Paise ka masla nahi hai bas tum admi ka pata karo.
"Golden Tip''s"

Paon Beshak Phisal Jaye,Lekin Zaban Ko Na Phisalne 2.

Aj Amal Hy,Hisab Nai,Lekin Kal Hisab Hoga,Amal Nai.

jhoot Bol K Jet Jane Se,Such Bol K Har Jana Behter Hy.

Khubsurti Kapron Se Nahi,Ilm-O-Adab Se Hoti Hai.

Ibratein Beshumar Hain,Magar In Ka Asar Lene Wale Buhat Kam Hain.
,*, Kuch Anmol Batain Meri Diary Se ,*,
1. Aalim Se Ek Ghantay Ki Guftgoo 10 Baras K Mutalla Se Behtar Hai
2. Tehreer Ek Khamosh Zuban Hai Aur Qalam Haath Ki Zuban
3. jhoot Bol K Jeetnay Se Behtar Hai Such Bol K Haar Jao
4. Waqt Se Pehle Kabhi Iraday Ka Izhaar Na Karo
5. Shikayat Na Karna Bhi Sabr Me Shamil Hai,
6. Khamoshi Be-Faida Guftgoo Se Behtar Hai
7. Dunia Me Sab Se Mushkil Kaam Apni Islaah Hai Aur Sab Se Sehl Dusron Par Nukta Cheni Karna
8. Umda Cheez Ko Hasil Karna Koi Khoobi Nahi Balkay Usay Umda Tareeqay Se Istimal Karna Khoobi Hai
9. Khud Pasandi Sab Se Bari Tanhai Hai
10. Khamoshi Barh Jaye To Haibat Ban Jati Hai