Insaan ki zindagi mein justajoo ka koi wajood na hota.....
Agar Insaan key mukadar mian sirf khushian hoti..
To umeed kun karta, hasratien kis ki udhori rehti..
Agar kooshish ka makam na hota...
sub mukmal ho jatey to phir udhora kun rehta...
Aisa hota.....
To sub ka mukadar phool hotey...phir khantoo ko kun pochta....
Phir kis ki kahstian bhanwar mein bhatkatien.....
Sub ko sathi mil jatey to phir tanhian kis ka mukadar banti.....
Zameen par hai magar aasman jaisi hai
Woh narm narm see larki chattan jaisi hai
Meray haroof bhi jhootay hain meray jazbay bhi
Meri kahani bhi saray jahan jaisi hai
Yeh shaam mil k bicharnay ka ista-ara hai
Yeh raat hijar k kalay nishaan jaisi hai
Hawaein roz bhujaati hain khuwahishon k diye
Yeh zindagi bhi andheray makan jaisi hai
Mein apnay sath hoon ya koi dosra hai ZIA
Yaqeen ki yeh ghari bhi gumaan jaisi hai