Aik phool se shurwat

Aik phool se shurwat
Aik phool se shurwat ki thi muhabt ki.

wohi phool ki patyaan dali gyi qabr per.
  

May, 27 2010     83 chars (1 sms)     3122 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Lahoo say dil pay jo kheencha thha naqsh kaisay mita doon
Tuhi bata main tujhay apnay dil say kaisay bhula doon

Meri hasti ko to bas aas thhi teray wujood ki
Meri hasti ka jo haasil hai ussay kaisay bhula doon

Meri tanhaayi mein jo saath mera chhor na paaya
Shab-e-furqat ka jo haasil hai ussay kaisay bhula doon

Talaash-e-raahat-e-hayaat mein jeevan guzar gaya
Shaoor kho kay jo paaya hai ussay kaisay bhula doon

Wohi to yaad thhi shaadaab wo hi yaad hai shaadaab
Rahay gi yaad wo shaadaab ussay kaisay bhula doon..!
"Mohabbat..

Dekhoo Muhabat Karoo Tu Itni Karoo K Koi Had Na Rahay
Intezar Karoo Tu Itna Karoo K Koi Waqt Na Rahay
Bharoosa Karoo Tu Itna Karoo K Koi Shak Na Rahay
Nafrat Karoo Tu Itni Karoo K Phir Muhabat Na Rahay
Kash mein ek shaayar hota,
kaash yeh dil ki baat kehpaata,

Labon tak aake ek baat ruk gayeethi,
zindgiki yeh daastan waheen tham gayeethi,

kaash who mere dilke ashk sun pateee,
kaash mein ek shayar hota.
Dill chahey woh koi baat karey
jab dill kay taar tootey hon
jab saarey mujh say roothey hon
jab aankhain meri beeghi hon
dill chahey woh koi baat karey
Ham tu uski rooh k talabgar Hai..
"WASI"
Warna
Yahan tu lakhon Jism bikte hai Chand rUpon ki khatir...
Us nay kaha mugh say tumain kitna pyaar hia
main nay kaha sitroon ka koi shummar hia

uss nay kaha kon sa tohfa doon tumain
main nay kaha woh shaam jo ab tak udhaar hia
Kitne paas hai kitne door hai hum,
Khuda hi jaanta hai kitne majboor hai hum,
Saza ye hai ke mil nahi sakte,
Gunaah ye hai ke be-kasoor hai hum.
Woh Roz Dobty Suraj Ko Deakhta Hai FARAZ









Kash Ma B Kisi Shaam Ka Manzer Hota
mili hawaon mai urrny ki wo saza yaro

k mai zameen k reshtoon say kat gya yaro

wo bekhyal musafir, mai rasta yaro

kahaan tha bus mai mery us ko rokna yaro

tmam shehr hi jis ki talash mai gum tha

mai kis say pochta us k ghar ka pta yaroo
ae rab tera insaaf bhi kesa hai alam-e-haqaqi main,

samandr bhi use jase payas nahi or sahra use daya jase payas hai.
Aankhon Ke Kinare Humne Bhigoye Hi Nahi
Woh Sochte Hai Hum Roye Hi Nahi
Woh Puchte Hai Khwabon Me Kise Dekhte Ho
Hum Hai Ki Unko Dekhne K Baad Soye Hi Nahi
pyaar kay deep jalaney walay kuch kuch pagal hotay hain
apni jaan sey janey walay kuch kuch pagal hotay hain
hijr kay gheray zakhm milay to mujhko ehsaas hua
pagal ko samjhney walay kuch kuch pagal hotay hain
jaan sey piyarey logo sey bhi kuch kuch pardah lazmi hai
sary baatein bataney walay kuch kuch pagal hotay hain
is kay ishq mein bheeg kay humko yeh ehsas hua
dil ki baat mein anay walay kuch kuch pagal hotay hainn