Suna hy is jahan men zindgi ki qeht saali hy

Suna hy is jahan men zindgi ki qeht saali hy
Suna hy is jahan men
zindgi ki qeht saali hy

Yahan 2, 4 din jeeny ka aksar zikr hota hai

Yahan her cheez fani hy

Sabhi ko mot ani hy

Yahan izhar kya krna

Yahan pr pyar kya krna

Mgr kuch youn B sunta hun

k aisa ik jahan hoga

K jis men mot Aany ka

Koi dharka nhi hoga

Hayat-e-javedan k wahan asbab rakhy hain

Ye mera tumse wada hy

Agr dono wahan mil gye

Wahin iqrar kr lain gy

Wahin izhar kr lain gy

Wahin Phr PYAR Kr lain gy . . . ;->
  

May, 28 2010     483 chars (4 sms)     3204 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Sath Chalny ko Chalay Thy Dost Dushman sb ''faraz''

meri manzil Tak ka Saathi Sirf mera Saya Nikla.
Youn Gawara Nahi Jeena Bin tere Mujhe
Kyun Hai Juda Koi To Wajha Bata De
Kuch Aur Nahi To Kar Itna Karam
Jahan Tu Yaad Na Aye
Koi Aesi Jagha Bata de
Koi to Aisa Hua Kare Jo Mujhe Dekh Dekh Ker Jiya Kare
Jo Meri Khushi Main ho KhusH Sada
Mere Gham Main mera Dukh Saha Kare
Jo UthAy Kabhi Haath wo, Mere Liye Hi Dua Kare
Main bhi To Ek Kitaab Huun
Mujhee Chupke Chupke Parha Kre
Khuda Se Mujh Ko Wo Maang Le
Ho Dua Poori Khuda Kare
Kaash hame bhi koi samjhane vaala hota to aaj hum nasamajh naa hote kaash koi prem ki pyali pilane waala hota to aaj hum sharaabi naa hote kaash koi hum par jaan fida karne waala hota to aaj hum kaatil naa hote kaash koi hamare saath ghar basane waala hota to aaj hum beghar naa hote kaash koi hamare saath doosti karna wala hotatoo ajj beghar dooost ka na hota kaash Kuch hamaree bhi maqsad hote too ajj hmm beghar maqsad ka na hota shaayad accha hi hua ke koi bhi nahi hai nahi to aaj hum shaayar naa hote
Hum To AsiQ hain Us Phool k Jo Shabnaam se bhi ho PaK...
/
Masley howey Phoolun ko Hum Uthaya nahin kartay...!!!
apney dil kee veeraniya mujhey hasatee hain,
kya kahoon k apni hee nadaniyan mujhe hasatee hai,

jab teree yaar boht aati hai to na pooch aye dost,
phir yun hota hai k pareshaniyan mujhe hasatee hain
her raat teri yadon ko qatal kar k dafan kr k so jata hun.

per yeh log bare sangdil subha teri adain teri batain le kr aa jate hain.
Na kabhi ye chupaya ki pyar kitnna hai, na kabhi ye jataya ki dard kitna hai,bas hume aur us khuda ko hai malum, apse mulakat ka
intezar kitna hai.
kuchh beete hue lamho se mulakat hui kuchh tute hue sapno se baat hui yaad jo karne baithe un tamam yado ko to apki hi yaado se shuruat hui
Kabhi na tootnay wala hisar ban jaon

Woh mujh mai rahnay ka faisala to karay
Tere na hony se !!
Shayed.....
Zindgi to kut jaye gi
Haaan.....
Tukron main but jaye gi !!
Aasan to nahi apni hasti se guzar jana
Utra jo Sumandar mein to dariya bohat roya

Jo Shaksh na roya tapti rahonmein
Dewar ke saaye mein betha to bohat roya

Bari mushkil se zinda rah raha hon
Bari Mushkil se ye aadat pari ha.