Tumhein paana,

Tumhein paana,
Tumhein paana, Tumhein khona Tumharey hijr mein rona,


Yehi gar ishq hai "ZOHRA"
To hum tanha hi ache hain.
  

May, 28 2010     114 chars (1 sms)     3566 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Thaam leta humain bhi barh ke koi







Haath hum ko koi mila hota
March April k din bhi
Kitny ajeeb hoty hain
Jab jab phool khilty hain
Dil murjhany lagty hain
Kuch bichre loog yaad anaye lagty hain
Yuun to bhari bahaar main her tarf khushbu hoti hai
Dil ko na jany kiss ki justajuu hoti hai
Jab bhi yah mahkii fizaain ati hain
Guzra waqt yaad dilaati hain
Yeh jo her tarf gull khily hoty hain
Dil main yadoon k nishter chabooty hain
Koon kahta hai
Baharain khushyaan latiin hian
Yah to Udasioon se daman bher jati hain............
Mujhe kinary ki kab tamana,
Tujhay hai darya k par jana, Biphartay darya ki surkh maujen bata rahi hen, Khiraj mangay ga tujh say darya
Jo meri mano to aisa kar lo,
mujhay sharik-safar bana lo,
Khiraj mangay jo tujh se darya
Mujhay bhanwar mein utaar jana.
Tera zaroori hai par jana................
nazar se door hota ja raha hai
k woh majboor hota ja raha hai

ussey hum sey taghafal ka gilla hai
jo khud maghroor hota ja raha hai
duniya sey mukhtalif hai mera andaaz-e-zindagi ghalib..

mein zakham khaata hoon to aur nikhar jaata hoon...
Uski yadon mein uski baton mein
Us ki duaon mein kahin mera aks to jhilmilata hoga
Lakh masroof hoga apnay kamon mein woh
Par ik pal to meri yad mein bitata hoga
wo kahta tha se bicher k viraan ho jain gay hum,

aaj pury shehr me sb se roshan ghar us ka mila..
Tanhaion k Shehar mein aik ghar bana lia
Ruswaion ko Apna muqadar bana lia
Dekha hai yahan pathar ko pojty hain log
bas iss liye apny dil ko Pathar bana lia
Us ne tora wo taluq jo meri zaat se tha,

usko ranj najany meri kis baat se tha,

la-taluq raha wo bhi auron ki tarha,

Jo achi tarha waqif meri zaat se tha.
tumhare hoth, tumhari baahe mujhe pasand hai,
tumhari aankho me mere hi sapne band hai,
tumhari chaal,tumhari baate mujhe aachi lagti hai,
tumhari aanko ki taarif me gazale thakti hai,
jabse tumko pyar kiya hai aata hai mere mann me,
aur na koi dekhe tumko mere siwa is zindagi mein..

Dil Ab Tak ...

Wasl k Un Lamho''n

k Asar Main Hy ...

Main Jab Sy

Tum Se Mil k Aaya Hoon

Mera Sab Kuch Safar Main Hy !!!
Teri chahat mein hum zamana bhool gaye
Teray baad kisi ko apnana bhool gaye
Phir laga sara jahan verana hum ko
Jaisay chaman mein phool mehkana bhool gaye
Tum say muhabbat hai bataya saray jahan ko
Yehi baat tum ko batana bhool gaye
Hum nay mita diya jahan bhi likha tha tera naam
Magar apnay dil say mitana bhool gaye
Wo juda hoye hum say muskuratay huway magar
Apni palkon k aansoo chupana bhool gaye