Ye Manzlen Ye Raste

Ye Manzlen Ye Raste
Ye Manzlen Ye Raste
Meri Har Khushi Tere Waste

Ye Sukon aur Ye Qarar bhi
Meri Aashqi Tere Waste

Kabhi Gham na Tere Qareeb ho
Tujhe har Khushi Naseeb Ho

Meri Iltaja Tere Waste
Meri Har dua Tere Waste

Meri Dharknen Mera Pyar Tu
Sabhi Chahten Tere Waste
  

May, 28 2010     268 chars (2 sms)     3407 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Ye Rung-e-Gul Bhi Hy
Aur Khaar Bhi Hy

Zubaan Chalti Hui
Talwaar Bhi Hy

Ajab Hy Bolti Aankho''n
Ki Masti

JahanInkaar Bhi Hy
Iqraar Bhi Hy

Ye Raah-e-Ishq Hy
Dekho Sambhal Kr

Bohat Aasan Bhi Hy
Dushwar Bhi Hy

Ajab 2 Rung Hyn
Insaan Ki Fitrat

Gila Hy Jis Sy Usi Sy
Pyar Bhi Hy !!!
Jab tak lafz wazu nahi karte,
Hum apki guftagu nahi karte,
Kuch dil ka rishta aisa hai ap se,
Jis dua mein ap na hon,hum aisi dua nahi karte...
zindgi tum yaheen kahein rehna.

main zamana badal k aata hon..
raaz keh detay hain nazuk sy isharay akser
kitni khamoosh MOHABBAT ki zubaan hoti hai
@Vo ke har ahad-e-muhabbat se mukarataa jaaye
Dil vo zaalim ke usii shakhs pay martaa jaaye
Mere pahluu mein vo aayaa bhii to Khushbu ki tarah
Main usay jitnaa sametuun vo bikhartaa jaaye
@yaqeen-e-muhkam, amal-e-peham muhabbat fateh aalam
jihad-e-zindgani maiN haiN yeh mardooN key shamsheeraiN
@Wo Mujhay Toot Ker CHahay Ga Or choor Jaiga.
Mujhay Khaber Thi Usay Ye Huner Bhe Aata Hay.,
@Khizaan K Phool Ki Manind bikher Gaya Koi
Tumhian khaber Na Hoi or Mer Gaya Koi..
rait k gahronde bana kar thori dair k laye spane sjate thy bachpan main..

phir unhain rait k gahrondon ko tord dena gahr wapias jate howe..
Royein nahi to kya karein
Kuch aur to samajh mein ata nahi

Roothein huoun ko manaein kaisey
Yeh soch kar chain ata nahi

Agar kisi ko pana hai mushkil
To bhulana bhi mumkin nahi![/b
shoola-e-husn se jal jae na chehre ka naqaab.

apne rukhsar se parde ko hatae rakhna..
Wo bar bar mujhy azmata raha
Misl_e_shama wo jalata raha,

Dost bhi kaha usne mujhy mgr''
Dushmano ki tarhan tarpata raha,

Ungali pakar kr aaksar aandhere raston mai,
Wo bar bar mujh ko girata raha,

Aisa bhi bhala kya Dosti "SAGAR"
Mein rota raha wo muskarata raha.....!
Dil to maira udas hai Meer
Par yeh shehar kuoon saaen saaen karta hai
wo mujh say poch raha tha batao kaisa laga...
tm aglay zakhm choro ye ghao kaisa laga...

ajab sawal kiya andhiyon nay pat''ton say...
shajar say tot k girna kesa laga...

is ko choro zara apnay dil say ye pocho...
kaha jo us nay mujhay bhool jao kesa laga...
Doob Rahi Hain Saansain Magar Ye GumaaN Baaqi Hai
Aaney Ka Kisi Shakhs Ke Abhi ImkaaN Baaqi Hai

Muddat Hoyi Ek Shakhs Ko Bichrhey Lekin
Aaj Tak Merey Dil Pe Ek NishaaN Baaqi Hai
Mujh Ko uljha Huwa rehne Do MuQadar ki Tarah


Main Teri Zulf nhi k jo Sunwar jaonga.


Yaad aonga Zikar wafa me ,main B



Ashk ban kar tere Ankhon me utar jaonga