Aray tu na ho saka apna
To kia ghum hai
Dekho
Chunda,poonum,taray
Yeh sham k nazaray
Falak,zamin yeh kuhsar
Keh rahay hain ghum na kerna
Woh badal gaya to kia hua
Hum to hain na hamesha tumharay...
Pyar kise kehte hai yeh hum nahi jaante....
Is zindigi ko ab hum apna nahi maante....
Gam itne mile hai ki ab ahsaas nahi hota.....
karega koi pyar to ab aitbaar nahi hoga....
AB Ke Kerna To Aesi Chahat Kerna
Jisko Aata Hee Na Ho Sikwa Shikayat Kerna
Pehly Khusbu Ke Mizaj Ko Parak Lo
Phir Gulistan Mein Kisi Gul Se Mohabbat Kerna
Hadse banke log yahaan mila karte hai
zakhm dene ke hi saaman diya karte hai
roz gir jaati hai deewar tere wadon ki
roz hi hum maut ke saaye mien jiya karte hai..
Kabhi Un ka Naam Lena
Kabhi Un Ki Baat Kerna
Mera Zauq Un Ki Chahat
Mera Shauq Un Pe Marna
Kabhi Chalte Chalte Thamna
Aur Tham k Beth Jana
Kabhi Larkhara k Girna
Aur Gir K Phir Sambhalna
Kabhi Raat Raat Rona
Kabhi Din Charhey Sisakna
Kabhi Darya Darya Rehna
Kabhi Boondh Ko Tarasna
Hamesha Koi Wasta Hy Apna
YEHI ZINDAGI HY APNI
YEHI RASTA HY APNA ...!!!
anaa k kheil main us ko boht khasaara hua
k jeet ker bhi woh legta hey mujh ko hara hua
bess ik saans thi jo aati jaati rehti thi
wegerna tery bina kb mera guzara hua