kal dekha aik admi aata safr ki dhool main.

kal dekha aik admi aata safr ki dhool main.
kal dekha aik admi aata safr ki dhool main.

ghum tha apne aap main jase khushbo phool main,
  

May, 28 2010     95 chars (1 sms)     7464 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Kahin Khamoshi Main Bhi Iqrar Hai
Kahin Kisi Ka Dil Beqarar Hai
Kahin Nigahon Main Intizaar Hai
Kahin Kinara Kahin Manjhdaar
Kahin Apni Saanso’n Ka Koi Aur Haqdaar Hai
Tou Kahin Khud K Dil Main Kisi Anjaan K Liye Mohabbat Beshumar Hai
Aur Shayad Isi Fasaane Ka Naam Tou “PYAR” Hai
Ye hum tasleem kartay hein,

Tumhein fursat nahi milti,

Hamaray wastay tum ko,

Koi saa''at nahi milti,

Hamari soch k mehwar,

Kabi ik pat to socho tum,

Tumhein hum yaad kartay hein,

Aur itna yaad kartay hein,

K KHUD KO BHOOL JAATAY HEIN ! ! !
Woh Nadiyan Nahi Aansu They Mere
Jinpar Woh Kashti Chalate Rahe
Manzil Mile Unhein Yeh Chahat Thi Meri
Isliye Hum Aansu Bahate Rahe
Mere kareeb to aao ki bahut udaas hoon mai,
koi kahani sunao ki bahut udaas hoon mai,
kisi bhi jhoote dilaase se dil ko behlao to sahi,
bus aaj toot ke chaho ki bahut udaas hoon mai..............
Unko Dekhte Hain To Aa Jati Hai Chehre Pe ronaq...

Wo Ye Samajhte Hain K Bemaar Ka Haal Achha Hai....
bus kro khatam kro ye bazi-e-ishq

"mohsin"

muqadar k harey kbhi jeta nahi kartey......!
Is Se Pehle Ki Dilo Me Nafrat Jaage
Aao Ek Shaam Mohabbat Me Bita Di Jaye
Karke Kuch Mohabbat Ki Baatein
Is Shaam Ki Masti Badha Di Jaye
Aaj mat rok madhosh ho jane de

Paas aa apne nashe me kho jane de

Na aaon hosh me na meri sanson se teri mehek jae

Band krle ankhen jo hota hy ho jane de.
khamosh lahjay main doost kabhi bola nahi kartay..
Darday Gham ko haar kisi kay samnay khola nahi kartay

Mohabbat too mohabbat hai barii anmool hoti hai
Mohabbat ko kabhi tarazoo main tola nahi kartay

Uss kay khamosh rahanay per koi ilzam nahi daay naa
Samandar too Samandar hai kabhi roya nahi kartay
Jab Bhi Sochogi Har Fasana Yaad Aayega,
Kab Ki Thi Kya Baate Wo Zamana Yaad Aayega,
Sukh Jayenge Tumhare Honth Aankh Se Aansoo Nikalenge,
Phir Dil Se Aawaz Dena Ye Diwaana Chala Aayega.
dabona chahti thein jo mohabbat k safeenay ko,

inhein lahron mein tha sahil na tum samjhay na hum samjhay...!
Meray MaRnay K Baad Meri Khaani Likhna
KaiSay BarBaad hOii Meri Jawani Likhna

Yeh Bhe Likhna Usay InteZar Tha bOhet
AakhRi SanSOun Ki jAb hOii Rwanii Likhna

Aur Kya Likhna hAi mUghe kUch Yaad Nahien
AankhOn Mein Aaya Tha bOhet Pani Likhna

Jo Pyar Sey Khai Thien Qasmien Us Ney
Un QaSmOun Ki Kya hOii MehaRbani Likhna

Ik Mein Nahien hOn dUnya Mein mansOor
BArBaad hOi IShq Mein Jis Kii Jawani Likhna

Aur Likhna K Daitay Tha dUa tUghay
Haath Bahir Thay Kafan Sey NiShani Likhna