Raah-geero''n Se

Raah-geero''n Se
Raah-geero''n Se
Tasadum Ka Sabab
Banta Hy ...


Tujh Se Milney Ka
Achanak Hi Iraada
Hona ... :)
  

May, 28 2010     104 chars (1 sms)     3461 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Bin Bataye Na Jane Kiyu Os Ne Doori Kar De


Bhichar k mujh Se Os Ne mohabbat Adhoori Kar De


Mere Mukadar Main Ghum aaye To Kiya howa?


KHUDA ne Os Ki Khuwahish To Poori kar De.......!
teri dosti teri wafa he kafi hay ,

tamaam umar ye ik aasra he kafi hay,

jahan kahen b milo mil k muskra deyna,

meray jeenay k liay teri ye adaa he kafi hay,
ye dil ka parinda bhi ajab shey he keh jisne,

Pyasa bhi raha dasht se hijrat bhi nahen ki.
Pehlay Trasha Us Ne Kanch Se Mera Wajood....

Phir Shehar Bhar K Haath Mein Pathar Thama Diye . . .
Rab Karey Tera Naseeb Chamakta Dikhai Dey
Aankhain Jo Band Karein To Madina Dikhai Dey
Sajda Jahan Karey Waha Qaba Dikhai Dey
Uthay Jo Ankhain To Gumbad-E-Khizra Dekhai Dey
Ameen
Meri tanhaion main shareek hu jaoo.

Suno tum mera naseeb hu jaoo.

NA rahy kisi aur ki arzu mujhe.

JU hu mumkin tum mery itny qareeb ho jaoo..
Aik he mil jaaye toot kar chahnay wala bohat hai

Mujh say qanaayet pasand hazaaron ki tamanna nahin rakhtay!
ager kisi se bichrna itna asaan hota to...

jism se rooh ko leney frishtey kabhi na aatey...
Tumse rishta tod bhi nahin sakte aur jod bhi nahin sakte
tu Bewafa hai yeh soch ke tumse muh mod bhi nahin sakte
beshaq tu kisi aur ke haathon ki lakeeron mein hi sahi
yeh soch ke hum tumse milne ki aas chod bhi nahin sakte
Mohabat seekh kar karna k bin seekhay mohabat ka
Safar dushwar hota hai
Gireban taar hota hai
Kabhi inkar hota hai kabhi iqrar hota hai
Mohatbbat seekh kar karna
K bin seekhay mohabat tu serabon ki kahani hai
Dukhon ki raj dhani hai
Jo kal ban jai ga badal yeh dary ka woh pani hai
Mohabat seekh kar karna
K bin seekhay mohabat azab-e-zindagi thehri
Sharab-e-zindagi thehri na ho takmeel jis ki woh
Kitab-e-zindagi thehri
Isi khatir tu kehta hoon kisi ustad-e-kamil say
Mohabat seekh kar karna
Wo baat Kyun Karun JisKi Khabar hi na ho,

Woh Dua Kyun Karun Jiska Asar hi na ho,

Kaise Keh du Tujhe Lag Jaye Meri Umar,

Kya pata Agle Pal Meri Umaar hi Na ho.
jo banta raha humri nayoton ko jaan kar bhi rahmtain.

aaj hum ne hi us khuda ko ferqoon main baant daya.