Mushkil Tha Bht Mere Liye
Tark-e-Ta''aluq
Ye Kaam Bhi Tum Ne Mera
Asaan Kr Dia
Har Roz Sajate Hyn Teri
Yaad Main Gunche
Aankho''n Ko Teri Yaad Ne
Guldaan Kr Dia
Meri jaan se bhi pyare ho tum,
mere tamam hasraton ki manzil ho tum,
mere dil ki har khushi ho tum,
barson tarsi jis pyar ko me,
us pyar ka arman ho tum,
meri jaan se bhi pyare ho tum...
kabhi zid kr k aur kabhi khana na khany ki dhamki dy kr
aur phir fakhar kea krta
mezaj main hat dharmi aur zid tuu ab b wesi hi ha
lekin hat dharmi aur zid sehny wala koi nahi
dhamki b dy sakta hon
lekin dhamki main any wala koi nahi
es k bawjud
jo kuch b chaha ha jesy tesy hasil kea ha
aur duniya ki beshumar nemat''ain muyasar hain
magar
wo lamhy jo beet gay
aur waqt jo guzar gaya
kahan say laa''on aur kis say mangon??