Tmhara naam likhta hn

Tmhara naam likhta hn
Tmhara naam likhta hn
Main kaghaz pe
Dekhta hn
Sochta hn
Wo kaghaz phaad deta hn
Phr un kaghaz k tukro''n ko
Mutthi me bheenchta hn
Phenk deta hn
Wahi''n pr beth k larta hn khud se
Wohi kaghaz uthata hn
Main aankho''n se lgata hn
Main tum ko sochta hn
Phir uss paani ko
Taweez-e-Mohabbat jaan ker peeta hn
Aankhei''n moond leta hn !!!!
  

May, 29 2010     350 chars (3 sms)     2004 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

koi dukh na ho
koi ghum na ho
koi ankh kbhi num na ho
koi dil ksi ka tory na
koi sath ksi ka chory na
bus payar ki nadiya behti ho
KASH K DUNYIA ASI HO......;->
Koi Wada Nahi Phir Bi Tera Intezar Ha
Judai K Bawajod Bi Tujse Pyar Hai
Tere Chehry Ki Udasi De Rahi Hai Gawahi
Mujse Milne Ke Liye Tu Bhi Bekarar Hai
Maza Barsaat Ka Chaho To In Aankhon Main Aa Betho


Woh Berson Main Kabhi Bersey Yeh Berson Sey Barasti Hain
mahfil na sahi tanhai tu milti hai
milan na sahi judai tu milti hai
kon kahta hai muhabbat mian kuch nahi milta
wafa nahi sahi bewafai tu milti hai
mujh mian aib soo honge magar ek khobi hai.

mian kisi ko raste mian chorda nai karta.
khof-e-raqabat say tujhey khawahish naa bataimdil ki,,,
sagar
mein jissay chaaho''n usay log bohat chahtay hain.
Qissa abhi hijaab say aagay nahin barha...

Mein aap, wo, janab say aagay nahin barha...

Muddat huee kitaab-e-muhabbat shuru kiye...

Laikin mein pehlay baab say aagay nahin barha...

Lambi musafatein hain magar is swaar ka...

Paaon abhi rakaab say aagay nahin barha...

Logon ney sang-o-khisht k qilay bana liye...

Apna mehal to khawab say aagay nahin barha...

Tool-e-kalaam k liye mein ney kiye sawaal...

Wo mukhtasar jawab say aagay nahin barha...
In ungaliyoun Ka Lams tha Aur meri zulf the

Gaisoo Bikhar rahey they to kismat sanwar Gayi. . . . . . !
Wo shakhs meri jaan bana rehta hai.

Uska payar meri pehchaan bana rehta hai.

Koi muntzir hai uska kitni shiddat se,

Wo janta hai magar anjaan bana rehta hai.
Tumhe lakho ki bheed me pechanta hai koi,
din raat khuda se tumhe mangta hai koi,
tum khud se vakif nahi honge itne,
tumhe tumse bhi jyada janta hai koi.
Tumhara Dil Kabhi Pighle Agar Gham ki Hararat se.
Tumhe maloom ho jaye ga rona kis ko kehte hain.
Bik Raha Tha Waqt k Bazaar
Mein Meri Ghairat Ka Lahuu

Mudd k Jo Dekha Tou Apna
Hii Dost Kharidaar Nikla ...