Sunoo!!!

Sunoo!!!
Sunoo!!!

mujhy dukh es baat ka nahi
k
meri zaat ko muntashir karne wale haath
tery thy.........

mujhy dukh faqat es baat ka hai
meri reza reza zaat ko samaitny waly haath
teray nahi thay......
  

May, 29 2010     204 chars (2 sms)     2302 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Agar tumhein ho kabool jana,
Falak k tabinda Chand taray,
Ye wadioon k Gulab saray,
Agar kaho to bana doon saray,
Tumharay kadmoon ki dhool jana,
Agar tumhein ho kabool jana,
Tumhari Ankhoon ko jam likhein,
Tumhein nazar se slam likhein,
Aur apne dil k haseen work pe,
Fakat Tumhara hi naam likhein,
Jahan ki her aik naghmagi ko,
Tumhara Tarz-e kalam likhein,
Agar Ejazat ho hum b ker lein,
Ye pyar ki ik bhool jana,
Agar Tumhein ho qabool Jana...?
Kahin Bhi Ziker-E-Wafa Chirr Gia Tou Log Akser
Log Hawala Dene Lage Teri Bewafai Ka
Yeh Aur Baat Hai K Hum Zabt Ker Gaye Her Baat
Werna Dukh Tou Hua Hamain Teri Judai Ka
Sachai.!

WO muje bohat chahti hai

Mager

Dukh bhi to us say bay shumaar miltay hain.!:(
Tamam Umar Mujhe Tootna Bhikarna Tha....

Wo Meherbaan Bhi Kahan Tak Samet Tha Mujhe....
BAN GAYE HO JAAN AB
AB TO IS DIL ME UTTAR JAO,
MANGA HAI TUMHE KHUDA SE,
EK PAL K LIYE NAHI, IS LIYE KAHTE HAI,
AB TO MERE HUMSAFAR BAN JAO.
ghar aankh sey ansoo chchalak pardey,
dekhey gha nazarey falak bardey,

wo na jayein hamein chord kar, ik sheesha tord kar,
issi liye rokney ko rasta hum sham sey rasty par hein khardey
Kahin Khamoshi Main Bhi Iqrar Hai
Kahin Kisi Ka Dil Beqarar Hai
Kahin Nigahon Main Intizaar Hai
Kahin Kinara Kahin Manjhdaar
Kahin Apni Saanso’n Ka Koi Aur Haqdaar Hai
Tou Kahin Khud K Dil Main Kisi Anjaan K Liye Mohabbat Beshumar Hai
Aur Shayad Isi Fasaane Ka Naam Tou “PYAR” Hai
Tumako Dekhaa To Ye Kayaal Aayaa
Zindagii Dhuup Tum Ghanaa Saayaa

Aaj Phir Dil Mai Ek Tamannaa Kii
Aaj Phir Dil Ko Hamane Samajhaayaa

Tum Chale Jaaoge To Sochenge
Hamane Kyaa Khoyaa, Hamane Kyaa Paayaa

Ham Jise Gunagunaa Nahiin Sakate
Vaqt Ne Aisaa Giit Kyuun Gaayaa... :(
Zikr unka hi aata hai mere fasane me,
jinko jaan se jyada chaha hamne jamane me.
Tanhai me unki hi yaad ka sahara mila,
nakamyab rahe jinko hum bhulane me
Kia Gham hai Kia Khushi Hai Malom Nahi
Wo Apna Hai k Ajnabi Malom Nahi
Jiske begair Ek Pal Nahi Guzerta
Kesy Guzry Gee Umer Malom Nahi
Hum nay socha k Duniya Say kinara Ker lain.
Hum nay dekha k Hum hi ronaq-e-mehfil nikly.
Meri pagal mohabbat tumhein yaad aye gi,

Jab chand sitare chamak rahe hon,
Jab yadon k phool mehek rahe hon,
Jab deed ko nain taras rahe hon,
jab ankhon se ansu baras rahe hon,

Meri pagal mohabbat tumhein yaad aye gi

Jab tanhai se dil ghabrae ga,
Jub tumhein akela pan sataye ga,
Jab koi khuab he na aye ga,
Jab phool kitab mein he reh jayenge,

Meri pagal mohabbat tumhein yaad aye gi