mujhe talash hai kuch ase shakhs ki

mujhe talash hai kuch ase shakhs ki
mujhe talash hai kuch ase shakhs ki

jo umer bahr k leye srif mera ho jaye.
  

May, 29 2010     77 chars (1 sms)     3120 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Aankhon Ke Kinare Humne Bhigoye Hi Nahi
Woh Sochte Hai Hum Roye Hi Nahi
Woh Puchte Hai Khwabon Me Kise Dekhte Ho
Hum Hai Ki Unko Dekhne K Baad Soye Hi Nahi
Wo Mujh se Meri Udasiyon ki Waja puchti hai

Kitni Pagal hai Raat k Sannate ki Waja puchti hai

Wo Mujh se Mere Aanso''on ki Waja puchti hai

Kitni Pagal hai Barish k barasne ki Waja puchti hai

Wo Mujh se Meri Pasand puchti hai

Kitni Pagal hai Khud apne hi barey mai puchti hai

Wo Mujh se Meri Wafa ki intihaa puchti hai

Kitni Pagal hai Sahil per Khara Samandar ki Gehrai puchti hia.....;->
Zindagi se bas yehi gila hai,
Khushi ke baadh kyu gham mila hai.
Humne to unse wafaa hi ki thi,
Par nahi jaante the
ki wafa kaa bewafaai hi silaa hai.
Kash kay main musavir hota
Teri ik tasveer banata

Qos-o-qazah kay rang chura ker
Tere chehrey ki zeenat banata

Teri maang sitaroon say sajata
Nazar na lagay tujhay kisi ki

Tere rukhsaar pay siyaah til lagata
Kayee kayee peher tujhay takta rehta..!!!
Aarzu-E-Safar ka Jub Hum nay Irada kia tha
Saath Chalnay ka Us nay B Waada kia tha

Kuch Us ko Raas na Aaeen Wafa ki Sadaqatein
Kuch Aitabar hum nay bhi Zada kia tha
Fasle mita kar dilon me pyar rakhna.


Dosti ka rishta u hi barkrar rakhna.


Mana ki bahut pyare-pyare dost hai apke


par un sab k bad is nacheez ko bhi yad rakhna.
Na Tasweer Hai Tumhari Jo Deedar Kiya Jaye,
Na Tum Ho Pas Jo Pyar Kiya Jaye,
Yeh Kaisa Dard Diya Hai Tum Nay,
Na Kuch Kaha Jaye,
Na Tum Bin Raha Jaye.
Lahoo say dil pay jo kheencha thha naqsh kaisay mita doon
Tuhi bata main tujhay apnay dil say kaisay bhula doon

Meri hasti ko to bas aas thhi teray wujood ki
Meri hasti ka jo haasil hai ussay kaisay bhula doon

Meri tanhaayi mein jo saath mera chhor na paaya
Shab-e-furqat ka jo haasil hai ussay kaisay bhula doon

Talaash-e-raahat-e-hayaat mein jeevan guzar gaya
Shaoor kho kay jo paaya hai ussay kaisay bhula doon

Wohi to yaad thhi shaadaab wo hi yaad hai shaadaab
Rahay gi yaad wo shaadaab ussay kaisay bhula doon..!
Is dil ki berukhi ki wajah humse puchiye

mohabbat mein mil rahi saza humse puchiye.

kyun ho udaas tum gam ki talaash mein,

gam ki har gali ka pata humse puchiye.
usko ankhon k dareeche se juda kaisay karoon,

wo meri zaat k har pehlu se bayaan hota hai...
Dard se dosti ho gayi yaaron,

Zindagi bedard ho gayi yaaron.

Kya hua jo jal gaya aashiyana hamara,

Door tak roshni to ho gayi yaaron...;->
Kehna to bahut kuch chahte the ''UNHE'' magar is juban ne sath na dia,
Kabhi waqt ki khamoshi mein khamosh rahe HUM toh
Kabhi UNKI khamoshi ne kuch kehne na dia..