saqi ko gila hy k bikti nhi sharab,,,

saqi ko gila hy k bikti nhi sharab,,,
saqi ko gila hy k bikti nhi sharab,,,

ek tera naam hy k hosh mein aane nahi deta,,,
  

May, 29 2010     87 chars (1 sms)     29494 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

ab thak gaye hum apni zindagi ke panno ko palat te huae..
jeena chahatay hai apne aaj mae..likhna cahate hai apna aaj..
par likhae bhi tou kya... aaj tou zindagi sirf ek kora kaagaz hai..
naa bacha hai kuch likhne ko... naa padne ko..
wo he roz ki tanhaayi.... wo he dard...
likhae bhi tou kaise.....
kuch likhne se pahele he kaagaz bheeg jaata hai..
mere bahte dard se... ab tou bus ek kora kaagaz liye bahte hai..
shayad kabhi ye ashq shuk jaaye
tou hum bhi kuch apne aaj ki daastan likhae..
isi intezaar mae baithe hai..
AjeeB tarah ki judai hai yeh key main is baar

sakooN main hooN buhat Be-qarar ho kar bhe. . . . .!
Utre jo teri zindagi ki gehrai me hum,
mehfil me reh ke bhi rahe tanhai me hum,
Diwangi nahi to ise aur kya kahe,
Tujhe dhondte rahe apni hi parchai mein hum.../
Aisi Hawa Chali Sab Phool Jal gaye
Sab Se aziz Log B Kitne Badal Gaye
Uss Ke Begair Kis Ko jeenay Ka Guman Tha
Hum Khud B Sochte Hain K Kese Sanbhal Gaye
Kal jo hume hassen or sub se payra lagta.

aaj wo hi qatil-e-jaan sub se bura laga.
Darr-e-qafas sy paray jab saba guzarti hy

Kisay khabar k aseeron py kya guzarti hy

Taeluqaat kbhi es qadar na tootay thay

K teri yad b dil se ghafa guzarti hy

Wo ab milay b to milta hy es tarah jaisy

Bujhay charaghon ko chhoo kar hawa guzarti hy

Ye ehl-e hijr ki basti hy ehtiyaat se chal

Musebaton ki yahan inteha guzarti hy

Na poochh apni anaa ki baghawtain MOHSIN

Darr-e qubool se bach kr dua guzarti hy...\
Humse pucho kya hota hai pal pal bitana,
bahut mushkil hota hai dil ko samjhana.
ye zindagi to beet he jayege,
bus mushkil hota hai kuch palo ko bhulana..
suljha hua sa shaks kahtay hai mujh ko log..... uljha hua sa mujh mai koi dosra bhi hai .....
Tumein Khabar Hi Nahin K Koi Tooot Gaya


Mohabatton Ko Boht Payedar Kartay Huwey
ye bhi aadaab-e-muhabbat hain tumhein kiya maaloom
hum tumhein jeet ke haaray hain tumhein kiya maaloom
aik tum ho kay samajhtay he nahi hum ko kabhii
aik hum hain ke tumharay hain tumhein kiya maaloom...
mohsin tum ny dekha hai kbi sehraa mei jhulasta hua darakht,

isi tarah jeety hain wafaoon ko nibhany waly.
haath mera thaam lo saath jab tak ho..
baat kuch hoti rahe baat jab tak ho..
samne baithe raho tum, raat jab tak ho..