Tu WOh Zalim Jo Dil Mein Reh

Tu WOh Zalim Jo Dil Mein Reh
Tu WOh Zalim Jo Dil Mein Reh Kar Bhi Mera Na Ban Saka ''Ghalib''!

Aur Dil Wo Kaafir Jo MuJh Mein Reh Kar Bhi Tera HOgaya~!!
  

May, 29 2010     127 chars (1 sms)     4202 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

kisi ney pooch liya agar udaasiyon ka sabab....

to moasamon ka gila ker k taal dain gey hum...
Ik Muddat Sai Meri Zat K Andar To Hai
Ik Muddat Sai Meri Soch Ka Mehwar To Hai

Mein Teray Piyar K Sahil Py Khara Hon Tanha
Meri Ulfat Meri Chahat Ka Samandar Ton Hai
be Shak Nibha Sake Ga Na Wadey Kie Howe

likin Yeh Dil Wafa Ke Irade Kie Howe


may Janta Hoon Dost Ke Rasmo Ke Khil May

pore Na Kar sakoge Tum Wade Kie Howe


sachai Ki Jhang May Hara Hoon is Liye

har Dost Samne tha Peyade Kie Howe


chahonga Youn K De Ga Zamana Meri Misal

eik Shakhs Mar Gaya Irade Kie Howe.....
Mohabbat agar dard hai toh bhi seh leenge hum,
Tere liye sanam dard-E- mohabbat se jee leenge hum.
tere jane k bad aik cheaz ub bhi muj mai baqi hai...

Teri yaad jo mujhy teri aik sharart ki terha stati hai...
Kitne zalim hai mere khuwab..
Jana
us se milne k lye mujhe sone nai dte
Miley Kaisey Sadiyoun Ki Pyaas Aur Paani, Zara Phir Sey Kehnaa
Badri Dilrubaa Hai Yeh Saari Kahaani, Zara Phir Sey Kehnaa

Kahaan Sey Chalaa Thaa Judai Ka Saaya, Nahien Dekh Paaya
Kay Rastay Mein Thi Aansoyoun Ki Rawaani, Zara Phir Sey Kehnaa

Hawa Yeh Khabbar Tou Sunaati Rahey Aur Mein Suntaa Rahoon
Badalney Koo Hai Ab Yeh *Mousum Khizaani*, Zara Phir Sey Kehnaa

Mukar Jaaney Waala Kabhi Zindagi Mein Khusi Phir Naa Paaye
Younhi Khattam Kar Lein Chalo Yeh Kahaani, Zara Phir Sey Kehnaa

Samay Kay Samandar! Kaha Tu Ney Jo Bhi, Suna Par Naa Samjhe
Jawaani Ki Nadi Mein Thaa Taiz Paani, Zara Phir Sey Kehnaa
Ek pyaar ki kashti ho, aur saath me mere tu ho
Fir aa jaye jo toofaan bhi to mujhe gum nahi......

mere pyaar par haq sirf tera ho
fir bich me aaye zamana to parvaah nahi

meri shamo ka savera sirf tum ho
fir aa jaye chahe virah , gum nahi
Guzar jain ge un k wo pal achey,

jinay hum intizar aur wo waqt kehty hain,

kia pata kon bhool jaye ye muhabbat,

jisay hum zindagi aur wo 1 lafz kehte hain
Kaho Ik Din Tum Aao Gey
Jhuki Hein Ab Meri Nazrein
Tumhe Jo Yaad Kerti Hein
Baharein Laut Lao Gey
Kaho Ik Din Tum Aao Gey

Woh Sari Teri Perchaiyan
Tasawar Ki Woh Tanhaiyan
Jo Aankhon Se Barasti Hein
Kaho Sab Chor Aao Gey
Kaho Ik Din Tum Aao Gey

Ye Arzan Hai Khazan Hum Per
Pholon Ka Hai Eeman Tum Per
Muhabat Tor Lao Gey
Kaho Ik Din Tum Aao Gey

Kyun nazrein teri piyasi hein
kaho kis ki matlashi hein
hakiqat ban ke aao gey
khawabon ko tor jao gey
Kaho Ik Din Tum Aao Gey
main khuda se shakyaat bhi kase karta teri..

teri ruswai ne mare honth see daye thy
Kuch Aise Log Jo Khaas Bohat

Jo Ahem Bhi Hon Aur Pyare Bhi

Tareef Main Jin K Lafz Na Hon

Tou Aam Se Lafz Hum Likhai''n Kyun

Kuch Safhay

Kuch Line''n

Kuch Warq

Kyun Na Khaali Rehne De''n

Aur

Aise Pyare Logo''n Ko

Sirf

Dil Main Apne Rehne De''n ...