shoola-e-husn se jal jae na chehre ka naqaab.

shoola-e-husn se jal jae na chehre ka naqaab.
shoola-e-husn se jal jae na chehre ka naqaab.

apne rukhsar se parde ko hatae rakhna..
  

Jun, 01 2010     89 chars (1 sms)     2807 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

mulaqatein musalsal hoon to dil chaspi nahin rehti....

baray dil chasp hotay hain yeh be tarteeb yaranay....!!
Nazr me zulmat Badan me thandak
Jamal kitna ajib sa tha
Me uski chahat me ghr se nikla tou
Haal kitna ajeeb sa tha
Na mene usy khatoot likhe
Na usne meri panah chahi
Dono ko apni bekhudi pe
Malal kitna ajeeb sa tha
Wo apni raato''n me chand dekhe
Main apni raato''n me usko socho''n
Badalte lamhon me soch ka ye
Visal kitna ajeeb sa tha
Safar akele kr lo ge
Mene poocha tou ro dia wo
Jawab kitna ajeeb sa tha
Sawal kitna ajeeb sa tha
Chooryaan hath mein thin
aur hathon mein uska haath b tha
sham-e-tanhayi bhi thi
rung aur noor ki barsaat b thi
mosamon ka junoon urooj per tha
dharkanon per b ikhtiyar na tha

uski madhosh nigahon mein talab pyar ka tha
kaanpte hathon se uske shugufta hathon mein
choorhyaan mujhse na pehnayi gayin
haan mager hath ghayal ho hi gaye
usne nazerein jhuka kar itna hi kaha
jayiye aapse nahi bolti
aapse itna bhi nahi hota..!!
Ya Rab Mere Dushman Ko Rakhna Salamat..!!

Warna Mere Marne Ki Dua Kon Kare Ga..!!
wo subha neend se jagay to mujh se larney aaye ghalib...

k tum kon hotay ho mere khawabo mein aaney walay...
aansoo bhi dil ki aag ko thanda na kar sake

wasi

barish ke bawajod bhi jalta raha makan.
Ajab baat hai woh mujh say khafa bhi raha
Woh doston say mera haal poochta bhi raha
Ajeeb rang mein ki us nay guftagu mujh say
Labon pay chup thi nigahon say bolta bhi raha
hay baad-e-marg bhi yaaro wohi tafreeq ka aalam...

na qabrein aik jaisi hain,na katbay aik jaisay hain...!
Husn Jab Mehr’Baan Ho to Kyaa Keejiye,

Ishq Kii Magfirat Kii Du’aa Keejiye...
Ye Jo Mosam Hai Guzer Jaye Ga
Dil Uske Baad Shayad Behal Jaye ga
Uski Bewafai Per Matem Kyun Kerain
Mujhko Malom Tha Wo Ek Roz Badal jaye Ga
In ungaliyoun Ka Lams tha Aur meri zulf the

Gaisoo Bikhar rahey they to kismat sanwar Gayi. . . . . . !
jab uska dard mere saat wafa karta hay,
Ek samandar sa meri ankhon se baha karta hay.
uski batein muj ko khushbo ki tarah lagti hay,
phool jaise koi sehra may khilla karta hay.......