Baat Karni Mujhe Mushkil Kabhi Aisi To Na Thi
Jaisi Ab Hai Teri Mehfil Kabhi Aisi To Na Thi
Le Gaya Cheen Ke Kaun Aaj Tera Sabr-O-Qarar
Be-Qaraari Tujhe Ae Dil Kabhi Aisi To Na Thi.
Aadat-tan tum ne kar diye waday.
Aadat-tan hum ne aetabar kia.
Teri rahon main bar-ha ruk k.
Hum ne apna hi intizar kia.
Ab na mangain gay zindgi ya rub.
Ye gunah hum ne aik bar kia
Tu k simta tu rag-e-jaan ki hadoon mai simta,
Mian k bikhra tu simta na gaya tere baad,
Yeh alag baat hai k afshan na hua tujh per warna,
Kitna mehsos kiye tujhay main nay tere baad,
Phool Khushboo Ke Nashe Main Bikhar Jate He
Log Pehchan Banate Banate Marjate Hein
Maanzil Un Ka Hi Mukkadar Hoti He Talab Ho Jinko
Be Talab Log To Manzil Se Ghuzar Jate Hein