Mumkin Jo Agar Hota,

Mumkin Jo Agar Hota,
Mumkin Jo Agar
Hota,

Hum Tum Ko Bhula
Detay,

Tanhaai Mein Jee
Letay,

Tum Ko Na Sada
Detay,

Is Dil Se
Dil Tak,

Deewaar Utha
Detay,

Mumkin Jo Agar
Hota,

Hum Tum Ko Bhula
Detay ....
  

Jun, 01 2010     207 chars (2 sms)     4644 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

ahal-e-dil aur bhi hain ahal-e-vafaa aur bhi hain
ek ham hii nahi duniya se Khafa aur bhi hain

kya hua ger merey yaaron ki zabaanein chup hain
mere shahid mere yaaron ke sivaa aur bhi hain

hum pe hi Khatam nahi maslak-e-shoriidaa_sarii
chaak-e-dil aur bhi hai chaak-e-qabaa aur bhii hain

sar salaamat hai to kya sang-e-malaamat ki kami
jaan baaqi hai to paikaan-e-qazaa aur bhi hain

munsif-e-shahar ki vahadat pay na harf aa jaaye
log kahate hain ke arabaab-e-jafaa aur bhi hain
neend ko aankhain krib hone nhe deti.

achi hai uski yaad jo sone nhe deti.
Kisi ne door se dekha koi qareeb aaya
Ameer shehar main jab bi koi ghareeb aaya

Hawa main zehar gola paniyon main aag lagi
Tumhare bad zamana bara ajeeb aaya
sabab rony ka wo poochain to bs itna keh dena,

mujhy hasna nahi aata jahaan par tum nahi hotay..
USKA HI ZIKR HAI AUR MAIN HUN
ISHQ BE KHABAR HAI AUR MAIN HUN

ZYADA KEHNA BHI KYA LAFZ HANSTE SE HAIN
USKA HI ASAR HAI AUR MAIN HUN

FASLE NA RAHE DOORIYAN MIT CHUKIN
PYAR KA IK SHAHAR HAI AUR MAIN HUN

EK GUMNAAM PYAR EK KHAAMOSH ISHQ
HASRATON KA NAGAR HAI AUR MAIN HUN
Ek Ajnabi Hy Magar
Rooh-Shanas Lgta Hy

Meri Trha Mujhy
Wo b Udaas Lgta Hy

Karon Talash Tou Ho
Shak Wajood Pe Us k

Jo Aankhai''n Band Karo''n
Aas Paas Lgta Hy
Apno ko jab apne kho dete hai, Tanhaiyo me wo ro dete hai, Kyu in palko par bithate hai log unko, Jo in palko ko aksar aansuo se bhigo dete hai...
Apnay apnay Bay Wafaoon naY Hamain yakjaa kiyaa






---Warna mein Tera nA Tha or Tu mera na tha---
Hajoom Mein Tha Wo Na Ro Saka Hoga
Magar Yakeen Hai Shab Bher Na So Saka Hoga
Wo Shaks Jise Samjhne Mein Mujhe Umar Lagi
Bicher Ke Mujhse Kisi Ka Na Ho Saka Hoga
yah kuch kam hay kay bassa hay mari sansoon main.
woh samnay ho mari ankhoon kay zarori to nahi.
Jab Seenay K Ander
Saans k darya doltey hain
Jab sard hawa main mausam
Chup si gholty hain
Jub aansu palkai''n roltey hain
Jab sab awaizai''n apne apne bister par so jati hain
Tub ahesta ahesta ankhai''n kholtey hain

DUKH BOLTEY HAIN
HAAN!!
DUKH BOLTEY HAIN. . .
Ajj kia bethey bithaey gham e jaan yaad ayya
aik yaad aye tu phir ik jahaan yaad ayya

jabb kooi phool girra jabb kooi patta toota
tujh see patt jharr main bicharney ka samaan yaad ayya

khul gaey ruhh ki galioon main terey chaap ke phool
jabb tera rangg kafey-e-paey rawaan yaad ayya

tujh koo dekha tu larazney laggi panddar ki loo
be sabab talaqh noey ka ziyaan yaad ayya

kitni saddioon ke muqaddar main terey deed na thi
hum terey muntazer-e-deed they haan yaad ayya

sehrey ablagah main kia zehmey sukhan tha hum koo
kudh pey guzri tu ghamey ehley faghaan yaad ayya

barhaa parsish ehwaal pe sajjad pehroon
aik ik harif ka andaaz-e-biaan yaad ayya