Meri zameen par jo chandni hai
Woh sab teri hai
Meray falak par jo dilkashi hai
Woh sab teri hai
Jo titilion k paron pay likhay hain khat merayhain
Yeh jugnoun mein jo roshni hai
Woh sab teri hai
Jo shab pay chai khamoshian hain
Woh sab meri hain
Sehar mein jitni bhi naghmaghi hai
Woh sab teri hai
Jo teri muthi mein khushboain hain
Woh sab meri hain
Jo meri aankh meein roshni hai
Woh sab teri hai
Do kadam ab to chala nahin jaata humsey..
E chand tu hi merey meet ko yeh paigaam dey...
Te''her gayi hai Tanhaii aakar raat ki tarah,
Zindagi mey meri bhi kuch subaah-shaam dey....
Tum kia ho Duniya ki nazar main
aik aam insan
ya ziada say ziada achay ya buray per
meri nazar main tum seep may moti hou
tum lehro ki shararat ho
tum thandi dhoup ki hararat hou
tum barisho ki sada hou
tum ghamo main khushiyo ka ahsas hou
tum dharkano ki awaz hou
tum sada ho mairay piyar ki
tum hi humsafer tum hi manzil ho zindaygi ki
tum khud ko kabhi mat daikhna duniya ki nazar say
kiun kay tum khas ho
sansou ki saaz hou...
Mohobbat hum b ker lain gay
Ye Ghalti tum b ker layna
Chalo tumhi se ker lain gay
kisi say tum b ker layna
tumhain hum Doost kahtay hain ,To Nadir Mashwara denge,
Mohobbat tum nay kerni hey.
! Suno Hume se ker layna ...!