Chaahat dil mein hai pyaar

Chaahat dil mein hai pyaar
Chaahat dil mein hai pyaar aankhoon mein ,
Mohabbat hum mein hai aur tum hamare dhadkan mein.
  

Jun, 01 2010     95 chars (1 sms)     4052 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Zindagi ne sikhaya hamein
kisi par ummid nahi rakhna,
par rakhna aitbaar har kisi pe,

Zindagi ne sikhaya hamein
agar tum khudko chahoge
to har koi achha lagega,

zindagi ne sikhaya hamein
tumko bura nahi lagega,
agar dekhoge samne wale ki nazar se,
*Un ko pal pal duaian deta he
*jin se gham hi wasool hoty hen

*Bewafaoan se pyar karta he
*Dil k apny asool hoty hen
Dil ki nazuk dhadkano ko
Mere sanam tumne dhadkana sikha diya

Jab se mila hai tera pyaar dil ko
Gham ne bhi muskurana sikha diya.
Mainey kaha woh ajnabi hai

Dil ne kaha ye dil ke lagi hai

Mene kaha woh sapna hai

Dil ne kaha phir b apna hai

Mene kaha woh do pal ke mulakat hai

Dil ne kaha woh sadiyo ka sath hai

Mene kaha woh mere Haar hai

Dil ne kaha ise ka naam to "PYAR" hai
Ab kyun oss din ki fiker kero,
jab dil tokray tokray hojaiga,
or saray gham mit jaingay,
tum khof o khatar say der guzer kero,
jo hona hay so hona hay,
hasna hay tou hasna hay,
ger rona hay tou rona hay,
tum apni kerni ker guzero,
jo hoga dekha jaiga.
Mujhse Bhi Kehta Tha Wo....

Kay ISHQ Nahi Hota Kisi Say !!!

MOHABBAT Nahi Hoti Kisi Say !!!

Magar Maine Bhi Kaha Kay

Mujhe ISHQ Hai,

Sirf Aur Sirf TUJHI Say...
madad q mangte ho''Ghalib''auron k darbar se,,,

wo konsa kaam hai jo hota nahi tere PARWARDIGAR se....
"Na wajood apna, na rooh apni
Bas ik tamasha yeh zeest thehri
Na dil lagi main sakoon paya
Na aashqi main qarar paya
Na wasl lamhay hi raas aaye
Na firaaq hi ghum guzaar paaye
Ajab yeh chahat k marhalay hain
Na jeet paaye na haar paaye
Na hi yaadon ki dhund utri
Na dil k daaman ko jhaar paaye
Na aankhain khawabon ko dhoond paaien,
Na khawab aankhon ko dhoond paay'"
ajab teri rafaqat me maza ata hai.

musalsal safer me rehne ko ji chahta hai
mEra tA''jub ajab To Nahi

w0 shakhs pehlay sA Ab to nhi

wafa ka kiya Gilla karon main us sE
W0 mera kab tha, jo ab Nhi
Koi Baat Esi Kiya Karo,Koi Lafz Esa Kaha Karo
Mile Jis Se Dil Ko Qaraar Sa,Koi Shair Esa Padha Karo
Kanton Se Guzer Jana Sholon SE Nikal Jana
Phulon Ki basti Mein Jana To sambhal Jana
Din Apni Chiraagon Ki Maanind Guzarte Hain
Har Shab Ko Bujh Jana Her Shaam Ko Jal jana
Bachon Hi si Fitrat Hai Ham Ahl-E-Mohabbat Ki
Zid Kerna Machal jana Phir Khud Hee Sambhal jana
Woh Shaks Bhala Mera Kia Saath Nibhaye Ga
Mosem Ki Tarah Jis ne Seekha Hai Badal Jana