Youn Hosla Dil ne Hara Kab tha
Bin Sharab Piye Guzara Kab Tha
Kuch Pal usey aur Dekh Sakty
Ashkon ko mager gawara kab tha
Hum Khud B judai ka sabeb thy
Uska Hee kasoor Sara Kab tha
Ab auron k saath hai to kya Dukh
Pehly B koi hamara Kab tha....!!
Main nay us k hath ki lakeron main
Aik siyah til dekha
Aur usay bataya, ye Daulat ka til hay
Tumahray hathon main kitni Daulat hay
Us nay apnay dono hathon say
Mera chehra thaam kar kaha
Han ! Dekho meray dono hathon main
Kitni Daulat hay. . . . . . /
Tum Mere
Itne Paas Ho k
Main Jab Bhi
Chaho''''n Tumhei''''n Chuu Sakta Hoon
Tumhei''''n Chaha Sakta Hoon
Tumhei''''n Mehsoos Ker Sakta Hoon
Par Darrta Hoon
k
Kahin Mere Chuutey Hi
Ye Manzar Bikher Na Jaye
Aur Main ... !!!
Iss trah nhin krty, raabta to rakhty
hen !
Thorra
milny julny ka,
silsila to rakhty
hen !
Manzilen buland hon to,
mushkilen bhi aati hen !
Mushiklon sy
larrny ka,
hosla to rakhty
hen !
Jo tumhary
apny hon,
tum sy pyar krty hon !
Un ka haal kesa hy? kuch pta to rakhty hen !
Dosti k rishty ko torrty nhin esy ! Roothy doston sy bhi,
waasta to rakhty hen !
Chorr jaany waly aksar lot kr bhi
aaty hen !
Lot kr wo aany ka, raasta to rakhty
hen . . !!