Us Ka Andaz-e-Bayan

Us Ka Andaz-e-Bayan
Us Ka Andaz-e-Bayan
Hi Maar Deta Hy
''Faraz''

Wo haqeeqat Main
Pyaar Karey Ga Tou
Kia Ho ga ... !!
  

Jun, 01 2010     106 chars (1 sms)     6209 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Khafa hona mana lena

Ye sadiyon ki riwaayat hai

Muhabbat ki alaamat hai

Gilay shikwey karo mujh se

Tumhein iss ki ijazat hai

Magar ik baat meri yaad rakhna

Hawaein rukh badlti hain

Khizayein lout aati hain

Khatayein ho hi jati hai

Khafa hona bhi mumkin hai

Khata hona bhi mumkin hai

Magar yoon haath se daaman churaya nahi karte

Taluk root janey se kabhi toota nahi kartey.
kuch log bhul kr b bhulaey ni jate
aitbar itna k aazmaey ni jate
ho jate hain dilo pr is tara musalat
k naksh un k chah kr mitaey nahi jate
ankhein b wohi hein darecha b wohi hai,

soch k angan main utarta b wohi hai,

wo jis ne diya mujko mohabat ka khazana,

barish ki trah ankh se brasta b wohi hai!
¤~ S H I K W A Y ~¤

DOOR Reh kar b KAREEB kitnay thay..
.
FASLE bhi AJEEB kitnay thay..
.
Dard-E-Dil ki DAWA nahi warna..
.
Is JAHAN mein TABEEB kitny thy.
chiraagoon say agar andherey door hoty to chand ki chahat kise hoti,,,,,

akeley zindagi agar cut jaati to pyaar sirf naam ki cheez hoti.............
Khali hathun ko kabhi ghor sy dykha hai faraz,

Kis tarah log lakeerun sy nikal jaty hain...
Barisho k mosam mein
UNko yad karney ki aadtain purani hain

Ab k bar socha tha adtein badal dein ghy

phir kheyal aaya k adtein badlney se barishein nai rukti.
Kuch is tarha se usay piyar krna parta hai...

K Apney piyar se inkaar karna parta hai...

Kabi kabi to wo itne qareeb hote hai,

K apne aap ko dewaar karna prta hai...

Khuda ne usko ataa ki hai wo Maseeha''ee,

K khud ko jaan ka bimaar karna prta hai...

Wafa ki raah mein dushwaarya''n to aati hain,

Wafa ki raah ko humwaar karna prta hai...

Wo haath rakh k mere dil pe jab puchte hai,

To mujh ko dard se inkaar krna prta hai
Kitne paas hai kitne door hai hum,
Khuda hi jaanta hai kitne majboor hai hum,
Saza ye hai ke mil nahi sakte,
Gunaah ye hai ke be-kasoor hai hum.
Meray khaboon ka her ek naksh mita day koi…
sokhay patto ka bacha dar jala day koi…
wwmeri pahchan ka ek shaks isi shehar may hai…
may bhi zinda hon zara uss ko bata day koi…
kuch to tanhai ka ahsas mujah kum ho ga…
meray saye se ager mujko mila day koi..
meray khaboon ka her ek naksh mita day koi…
sokhay patto ka bacha dar jala day koi…..
Barsoon baad bhi uski aadat na badli bewafai ki,RAZA,
Kaash mein mohabbat nahi uss ki aadat hota...
Jane kya mujhse zamana chahta hai,
mere dil ko tod kar muskarana chahta hai,
jane kya baat jhalkti hai mere chehre se,
k har shks mujhe aazmana chahta hai