Agar didaar ki talab ho,

Agar didaar ki talab ho,
Agar didaar ki talab ho,

to nazrein jamaaye rakh!

Parda ho ya nakaab ho,

sarkata zaroor hai!
  

Jun, 01 2010     103 chars (1 sms)     2883 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Kabhi Us ka kabhi Is ka Kabhi mera ''m0hsiN''

Tu nY Husn Ganwa diA Tijarat krty krty
Janaza Mera Uth Raha Tha,






Phir B Takleef Thi Unko Aanay Mai,







Bewafa Masjid Mai Baithay Poch Rahay Thay,







Aur kitni Dair Hai khanay Mai.
Chahron mein Ek chahra khojne ki aadat ha
Mujh ko Bheer mein beth kar sochnay ki aadat ha
Gila ho kabhi to keya un se sitam giri ka ke jinhen
Phool Shakhon se nochnay ki aadat ha.
Royein nahi to kya karein
Kuch aur to samajh mein ata nahi

Roothein huoun ko manaein kaisey
Yeh soch kar chain ata nahi

Agar kisi ko pana hai mushkil
To bhulana bhi mumkin nahi![/b
Ghar k dareechay se lagh ker tujh ko sonchtey rahey,
Baadlon ki gargarahat mein tujh ko khoojhtey rahey..


Dhoondhney ka silsila saari raat chalta raha,
Kabhi jaaghtey rahey, kabhi tujh ko sonchtey rahey..


Barish ki ek boondh pari jo mere chehrey per,
Is nanhi si boondh mein tujh ko dhoondhtey rahey..


Yeh mausam bhi apne sath laata hai ek daastan,
Is daastaan ko sun ker tujh ko sonchtey rahey..


Apni sonch ko itna waseeh ker dia hum ney,
Keh samne sab kuch hai, phir bhi tujh ko sonchtey rahey...
Kuch khud b the afsorda se,

Kuch tm b hm se roth gaye...

Kuch khud hi zakam k adhi the,

Kuch sheshe hath ma chot gaye...

Kuch tm ko such se nafrat thi,

Kuch hm se na bole joth gaye...

Kuch khud b itne mohtat na the,

Kuch log b hm ko lot gaye...

Kuch talak haqeqat itni thi,

K kawab hi sare tot gaye
Zaroorat Torr Deti Hai Gharoor-o-Be-Niazi Ko,



Na Hoti Koi Majburi To Har Banda "Khuda" Hota.
Anjana sa sapna palkon mein khelta hai,
andekha sa koi apna aankhon mein basta hai,
jiski pyaari si muskurahat saare ghamon ko bhula de,
aise kisi saathi ka saath jannat dikhata hai,
maine suna hai...chahat ka safar aise hi shuru hota hai!!!
Jab apne aap se kat ker jiya hoon jaan-e-Fareed
To phir main tujh se taaluk bahaal kya kerta

Jise badan ki nahin pyaar ki zaroorat thi
Woh badnaseeb tere khad-o-khaal kya kerta?
uske honton ko dekha tu meray dil me khayal aya.

wo lafz kitnay nashelay hongay jo inhay chho kar guzarty hongay.
kisi ko aankho mein basaa ke dekhaa thha
kisi ko dil mein bitthhaa ke dekhaa thha
ab tak thame nahin hai mere aansoo
bas ek baar muskurake dekhaa thha.
Bhoolna tumhe na assan hoga..

jo bhule tumhe vo nadan hoga..

Aap to baste ho rooh mein hamari..

Aap hume na bhule ye aapka ehsan hoga..