Kch Aisa Mere Khuda

Kch Aisa Mere Khuda
Kch Aisa Mere Khuda
Mo''ajza Ho Jaye

Meri Yaad Main Us Ki
Raat Subha Ho Jaye

Wo Chahy Tou Mujh Ko
Wo Maangy Tou Mujh Ko

Naam Le Jo Mera
Dua Ho Jaye

Wo Shaks Jo
Ek Khwab Sa Lgta Hy

Meri Umar Bhar Ki
Wafa Ho Jaye

Haath Thaam K Chalo''n
Main Hamesha Us Ka

Haath Chorho''n Tou
Mujh Se Khafa Ho Jaye

Dunya Main Koi
Us Jesa Na Ho

Wo Mukuraye Tou
Dunya Fana Ho Jaye

Yun Tou Bichar k
Sabhi Jeetey Hyn

Lekin

Wo Zindagi Na Miley Jo
  

Jun, 01 2010     469 chars (3 sms)     2769 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

aaey shamma tujh pe raat ye bhaari hy jis tarah...

hum ne tamam umar guzaari hy is tarah.....
main bad dua to nahin de raha tum ko

magar dost khuda kare ke tumhen mujh sa koi na mile..
main ne kaha k mujhy chor do ya tor do...

wo be-wafa hans k boli:

itnay naayaab khilonay roz kahan milty hain...
UDAS SHAMAIN UJRE RASTAY KABHI BOLAIN TO LOOT ANA…
KISE KE ANKHOON MAIN RUTJAGOON KAY AZAB AEEN TO LOOT ANA…
JO SHAM DALTAY HI APNI APNI PANA GAHOON KO LOT`TAY HAIN
AGAR WO PANCHE KABE KOEE DASTAN SUNAEEN TO LOOT ANA..
NAY ZAMANY KA KARB ORAAYE ZAEEF LAMHAY NADHAL YADAIN
TUMARAY KHAWAB KAY BAND KAMROON LOT AEEN TO LOOT ANA..
MAIN ROZ YOON HI HAWA PA LIKH LIKH US KI TARAF BEJTA HOON
KE ACHAY MOSAM AGAR PAHAROON PAY MUSKORAIN TO LOOT ANA..
AGAR ANDHEROON MAIN CHOR KAR BHOOL JAIN TUM KO TUMARE SATHEEE
AUR APNI KHATIR APNAY APNAY DIYAY JALAIN TO LOOT ANA..
MEREE WO BATAIN TO JIN PER BAY AKHTIYAR HANSTI THI KHILKHILA KAR
BICHARNAY WALAY MERE WO BATAIN KABI RULAIN TO LOOT ANA..
meri nigahon ki talash bas itni thi,

ami

aakhri saans se pehle us ka deedar ho jaye.
ZINDAGI KE DARIYA ME MAUJO KO SAHIL NAHIN MILTA, MANJIL KA PATA HAMEN SAARE MANZIL NAHIN MILTA, AUR KIS SE PYAAR KARE HUM, KOI IS KAABIL NAHI MILTA, PATHAR TO BAHUT MILTE HAI, MAGAR KOI DIL NAHI MILTA
Sheikh Sadi ka Qaul Hai,
Talwar 2 Qisam ki Hoti Hai,
1-Lohay ki
2-Muhabbat ki
Lohay ki Talwar 1 ko 2 kar Deti Hai
or
Muhabbat ki Talwar 2 ko 1 Kar Deti Hai........... :o)
Kismat mian muhbat bhi ajeeb mili.

usne muhbat ka agaz zara marne se pahle kya.
saaman-e-tijaarat meraa imaan nahii.n hai.
har dar pe jhuke sar ye merii shaan nahii.n hai
har lafz ko siine me.n basaa lo to bane baat
taako.n me.n sajaane ko ye quraan nahii.n hai
Milta tha mujh sai woh kabhi pal pal k farq sai..
Phir rafta rafta farq yeh saalon mai aa gaya...
Phir yoon hua k aankh sai aansu nikal parray...
Chehra kabhi jo us ka khayaalon mai aa gaya !
Saans lene se bhi teri yaad aati hai,
Har saans mein teri khushboo bas jati hai,

Kese kahoon ki saans se main zinda hoon,
Jab ki saans se pehle teri yaad aati hai.
||*MuGhal*||
Tumhara naam sunte hi bahut kuchh yaad aata hai
Khushi me guzra hua ek zamana yaad aata hai

Itni door ho gaye ho humse tumhe bula bhi nahi sakte
Aankhe bandh karte hi tumhara chehra yaad aata hai

Kaise bhuladu tumhe ab tum hi batado Sanam
Kiya tha kabhi jo tumse wo wada yaad aata hai

Kabhi jaker sagar kinare banaya tha jo gharonda humne
Aaj toota hua ret ka wo mahel yaad aata hai

Kabhi socha na tha maine hum yu bichhad jayenge
Bachpan ka wo roothna wo manana yaad aata hai

Char pal wo Zindagi ke wo mehfilo ki roshni
Deepak ke ujale me bhi gum ka andhera yaad aata hai

Ab to is tanhayi me ghoont ke mar jayenge hum
Hum se wo chhoota hua tumhara daman yaad aata hai