Zaroori to nahin jeene

Zaroori to nahin jeene
Zaroori to nahin jeene ke liye sahara ho
Zaroori to nahin hum jinke hain vo hamara ho
Kuch Kashtiyaan doob bhi jaati hain...
Zaroori to nahin ke har Kashti ka koi kinara ho....
  

Jun, 01 2010     180 chars (2 sms)     4267 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

kisi ki yaad ne zakhmoon se bhar diyqa hai seena mohsin!

her eik saans shak hay k aakhri ho gi.
Kuch Rishtey Uparwaala Banaata hai,

Kuch Rishte Log Banaate hain,

Par wo, log Bahut Khaas Hote hain,

Jo Bina Rishte ke Koi Rishta Nibhate hain.....
Mai''n kahee''n gum hoo''n...


Tum kahee''n gum ho...


Phir bhi aisa lagta hay...


Her jagah mai''n hoo''n...


Her jagah tum ho...!
Tinko s bane pal, pal se bane lamhe,
Aur lamho ne waqt ko buna,
Har pal koi kissi ke saath nahi reh sakta,
Iss liye khuda ne yaadon ko chuna.
Waqt Ki taiz Dhuup Ho Ya
Tez Aandhiya''''m

Kuch Qadmo''''n k
Nishaan Kabhi Nhi Khotay

Jinhe''''n Yaad Kr k
Muskura De''''n Aakhe''''n

Wo Log Duur Ho Kr Bhi
Duur Nhi Hotay ... (:
Apne Hatho Ki Lakiron Ko Khurch Dala Maine
Ksi Aamil Ne Kaha Tha Tu Paraya Hoga
Sham Hote Hi Sare Diye Bujha Deta Hun
Ye Dil Hi Kafi Hy Teri Yad Me Jalne K Liye
Zakham Dene Ka Andaaz Kuch Aisa Hai
Zakham Dekar Poochte Hein Aub Haal Kesa Hai
Kisi Eik Se Kya Gila Karein "R.A khan"
Poore Zamaane Ka Mizaaj Eik Jesa Hai
shayad kabhi arsa-e-ashk shub kat na sake..

tu subha ki hawa hai hum shaam k charagh..
Barha k mujh se rah-o-rasm ab wo sochte hain,



Wohi bohat tha jo rishta dua salam ka tha......!!!
....
Piyar dhoondnay walo
matti ki moorat main
bholli bhaalli soorat main
piyar kesay milta hai
yeh tu jaan lo pehlay
yeh tu jaan lo pehlay

roo rahi hai shehnaii
bheer main hai tanhaii
rooknay se ruktay hain
kab bhala yeh herjaii
rishtay kachay dhagay hain
yeh tu maan lo pehlay
yeh tu maan lo pehlay

benaam logon k
kitnay naam hotay hain
yeh bhi us ki qudrat k
kesay kaam hotay hain
kiun yeh aisay hota hai
yeh tu jaan lo pehlay
yeh tu jaan lo pehlay

bewafa zamanay main
piyar dhoondnay walo
matti ki moorat main
bholi bhaali soorat main
piyar kesay milta hai yeh
yeh tu jaan lo pehlay
yeh tu jaan lo pehlay
Kuch ziyada hi gahri baaten karne laga hon main

K usne samajni hi chour dien dubne k daar se
Ek Tamanna Hai Faqt Mujh Pe Meharban Raho,

Tum Kisi Aur Ko Dekho To Bura Lagta Hai,

Meri Chahat Ka Taqaza Hai Mere Saath Raho,

Gair Ka Haath Jo Thamo To Bura Lagta Hai,

Aarzo Hai Tere Har Roop Ko Har Pal Dekhoon,

Tum Mere Paas Se Utho To Bura Lagta Hai,

Roz-o-Shab Aaj Bhi Parwah Hai Tumhari Mujh Ko,

Tum Kisi Aur Ko Socho To Bura Lagta Hai...!!