Kabhi tum milnay aao na
Tumhein mehsoos karna hai
Tumhein bahon mein bharna hai
Tumhari zaat mein kho kar
Tumhara hissa banana hai
Mujhe weeran ankhon mein
Tumhari bikhari baton mein
Wafa ka rung bharna hai
Tumharay phool chehray par
Udasi ka jo manzar hai
Yahan pay apni chahat say
Hansi ko naqsh karna hai
Tumheray sath mil k
Zindagi ki jung larna hai
Kabhi tum milnay aao na
Tumhein mehsoos karna hai
AaNsuoN ki zubaan hoti hai
Ye bhi
Aksar kalam karte haiN
Gar tumheiN na yaqiiN ho to
Kabhi
Mere aaNsuoN ko
Ghaor se dekho
Ye bhi
Tum se kuch kehte haiN
Saath rehete rehete waqt unhi guzar jayega,
door hone ke baad kaun kise yaad aayega,
jee lo yeh pal jab hum saath hai,
kal ka kya pata waqt kaha le jayega.