mujhay anjam tak laana tha us benaam rishtay ko...
meri is bewafai ko koi bhy naam de daina
mager anmol jazbon ko kabhi bemol mat krna..
suno kuch bhy smjh laina...magar mat bewafa kehna
mujhay mat bewafa kehna!!!!
Suna hai nazdeekiyaan ehsaas dilati hain..
dooriyan betaabi badhati hain..
par,
jab paas hote hain woh to hum betaab rehte hain…
door jaane par kyon unka ehsaas karte hain…
samandar ko tha garoor gehraayi par apni..
aasmaan ko tha garv oonchaayi par apni…
sharm se zaar zaar ho gaye dono….
jab unhe bataayi humne dosti apni…
Meri deewangi ko galatna samajhna,
maine chaha hai tumhe hadh se badhkar ,
meri zindagi se kabhi dur na jana,
maine paya hai tumhe kismat ki lakeeron se ladhkar