Tum apni zulf ki parchaiyan mujhay day do

Tum apni zulf ki parchaiyan mujhay day do
Tum apni zulf ki parchaiyan mujhay day do
Tum apni shaam ki tanhaiyan mujhay day do
Mein doob jaon tumhari udas aankhon mein
Tum apnay dard ki gehraiyan mujhay day do
=======================================
Hum say bichar kay us ka takabbur bikhar gaya faraz
Har ek say mil raha hai bari aajzi k sath
  

Jun, 01 2010     306 chars (2 sms)     4972 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Hm Sa AhAl-E-diL Tuje KahaN MiLaY Ga''FARAZ''

JO Tere ''sitAm'' B SahY Aur Tuje DuA B dY
aa jata hai milney wo taswar main sar-e-shaam

ek shakhs ki itni c inayat b bahut hai...
TAIRE HOTE HOWE MAHFEL MAIN JALATAY HAIN CHARAGH....
LOOG KIA SAADA HAIN SOORAJ KO DEKHATAY HAIN CHARAGH
Guzray Huay Taweel Zamanay Kay Baad Bhi
Dil Main Raha Woh Choor Kay Janay Kay Baad Bhi
Pehlu Main Reh Kay Dil Nay Dia Hai Bohat Faraib
Rakha Hai Us Ko Yaad Bhulanay Kay Baad Bhi
Main yeh kehta hon ke
phir se dil lagana chahiye


Neend ki aghosh main
sapna suhana chahiye


Dil ki lau ko sard kar
dena aqal mandi nahi

Dil lagane ko agar-chay
ek zamana chahiye

Koi taaza phool le kar
milne aa jaye to phir

Apne zakhmi jaan-o-dil
ko bhool jana chahiye.
Chooryaan hath mein thin
aur hathon mein uska haath b tha
sham-e-tanhayi bhi thi
rung aur noor ki barsaat b thi
mosamon ka junoon urooj per tha
dharkanon per b ikhtiyar na tha

uski madhosh nigahon mein talab pyar ka tha
kaanpte hathon se uske shugufta hathon mein
choorhyaan mujhse na pehnayi gayin
haan mager hath ghayal ho hi gaye
usne nazerein jhuka kar itna hi kaha
jayiye aapse nahi bolti
aapse itna bhi nahi hota..!!
TOOT JAATE HAIN SABHI RISHTE MAGAR…..
DIL SE DIL KA RAABTA APNI JAGAH…..
DIL KA HAI TUJH SE NA MILNE KA YAQEEN ….
TUJH SE MILNE KE DUA APNI JAGAH …..
ye acha hai k bohat acha nahi houn mein,

dukhee ho ga na koi mere chaly jany k baad...
tu meri bani to theak werna dunia se chura loonga
apna chahay man jale saari dunia ko jala doon ga
aag, paani, sahra ya samundder say
main tujhay dhound nikaloon ga zameen ke ander se
main cheer ke rakh doon ga her us nasheman ko
jo tujhay apni aaghosh main lenay ki tammana rakhta ho
Uski yadon mein uski baton mein
Us ki duaon mein kahin mera aks to jhilmilata hoga
Lakh masroof hoga apnay kamon mein woh
Par ik pal to meri yad mein bitata hoga
maangi thi hum ne khuda se mohabbat ki zindgi.

khuda ne to tum ko hi mohabbat bana diya...!!!
Apni tanhai mere naam se abaar kare,

Kon hai jo mujhe is trha se yaad kare,

jis k Ansoun se meri rooh kanp uthe,

Hai koi aisa jo Mujhe pane ki yu faryad kare.>