Woh waqat woh lamhe Hasin honge,

Woh waqat woh lamhe Hasin honge,
Woh waqat woh lamhe Hasin honge,
Duniya mein hum khush Naseeb honge,
Dur se jab itna yaad karte Hain aapko,
Kya haal hoga jab aap kareeb honge.
  

Jun, 01 2010     147 chars (1 sms)     6497 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Qiyamat khez hain aankhen tumhari!!
Tum aakhir khawab kis k dekhte ho...
zindgi kaash tu hi rooth jati muj sy...!!!

yeh roothy huwy log muj se manaye nahi jaty..
Dil lagi thi usay hum se mohabat kab thi
Mehfil-e-ghair se unko fursat kab thi
hum thay muhabat mein lut jany k qayal
us k wadon mein wo hakeekat kab thi
wo wakt guzari k liay karta tha pyar ki batein
warna meri khater us k dil mein chahat kab thi
tum dubara anay ka taqlaf mat kerna
hum aik muhabat ko do bar nahee kertay
Dil K Afsane Hum Ankho Se Byan Karenge,
Agar Humare Isharon Ko Smajh Jao Tum.
Hum Geet Naye Sajayenge,
Agar Hoto Se Chhu Lo Tum
is ajnabi shahar mein yeh pathar kahan sy aaya sagar..

logon ki iss bheer main koi apna zaror hai..
Mujh say kahtee hai tairay saath rahongi sada

Buhat payar kartee hai mujhse -Udassi- meri
Zindagi Yun Teri Chahat k Naam Kerdi
Jese Ghaney Darakht k Neeche Shaam Kerdi
Laut Jate Hyn Parinde Bhi Shaam Hote Hi
Hum Ne Tou Har Shaam Hi Tere Naam Kerdi
Aisa Nahi Ke Hum Ko Mohabbat Nahi Mili
Jaisi Chahtey The Hum Ko Woh Ulfat Nahi Mili,

Milney Ko Zindgi Main Kahin Hum-Safar Miley
Per Un Ki Tabiyat Se Tabiyat Nahi Mili,

Chehroon Main Doosroo Ke Tumhain Doondtey Rahey
Surat Nahi Mili Kahin Seerat Nahi Mili,

Bohat Dair Se Aaya Tu Mere Paas Kiya Kahoon
Alfaaz Doondney Ki Bhi Mohalat Nahi Mili,

Tujh Ko Gilla Raha Ke Tawajja Na Di Tujhey
Laikin Humain Khud Apni Rafaqat Nahi Mili,

Her Shaks Zindgi Main Bohat Dair Se Mila
Koi Bhi Cheez Waqt-e-Zaroorat Nahi Mili........ ..!
Khusbu Se Hawaon Se Bhi Miltay Nahi Kuch Log

Mossam Ki Adaon Se Bhi Miltay Nahi Kuch Log

Mil Jaye Tu Jevan Ko Saja Detay HAin Laken

Bicherain Tu Duaon Se Bhi Miltay Nhi Kuch Log..
larzish nazar maiN lahjay maiN luk''nat ajeeb thei
is awalee''N visaal ki wahshat ajeeb thei

roshaN huwei usi se usi se bikhar gaa''ee
shabnum ko aaftaab se nisbat ajeeb thei

aansoo dee''ay per aankh ko ronay ki khoo na de
aiey badhsa-e-gham ye anaa''yet ajeeb thei

khirki maiN aa k chaand ne jhapki nahi palak
kal shab meray makaa''N maiN suhbat ajeeb thei

sahil pe they tu rait ka jaa''doo tha har taraf
kashti chali tu sajar ki dahshat ajeeb thei

dil maiN na rah sakay jo kahiN tu kahi na jaa''ey
amjad shikast-e-dil ki haalat ajeeb thei
kIYA HAI WADA USNE PAANCHWEN DIN AANE KA,
.
.
.
.
.
.
.
.

YE JANTE HUE K CHAR DIN KI ZINDAGANI HAI.