Waqt ki adalat me
Zindagi ki surat me
Ye jo tere haatho me
Ek sawaal nama hai
Kisne ye banaya hai
Kis liye banaya hai
Kuch samajh me aaya hai
Zindagi ke parche ke
Sab sawaal laazim hai
Sab sawaal mushqil hai....
Batao wo Aankhe jinme Khwab nhi hai..
Batao wo Dil jisme Armaan nhi hai..
Batao wo Insaa jo pareshan nhi hai..
Ya sirf,batado wo Jameen jaha Aasman nhi hai..
Tere firaaq ke lamhay shumaar kertay huay
Bikher gaye hain tera intazar kertay huay
Wo keh rahi thi samunder nahin hain aankhain hain
Main un main doob gaya aitabaar kertay huay