mere chere per ye jo nishan

mere chere per ye jo nishan
mere chere per ye jo nishan se kbi ansu guzrte the yahn se faqt teri zra c aik han mera ser ja laga hain asman se sbi insan payher ho gay hain ab in me aey gi dharan kahan se ameer karwan aisa mila hai jo rasta pochta karawan se muje ab aa gya hai ishq karna me lar skta hon ab sare jahn se phr inki b kami mehsos hogi uta mt khushk pate gulistan se abi sultan me hai jan baqi kahan jay ga tere aastan se
  

Jun, 01 2010     405 chars (3 sms)     2584 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Ishq Ko Bohat Badnaam Likha
Waqt Ko Humne Ghulam Likha
Rait Pe Tera Naam LikH Ker
Apni Mohabbat Ka Anjam Likha
Neno Mein AIk Deep Jala Ker
Isko Chirag-E-Benaam Likha
Iss Nazam Ka Mein ne APni
Unwan Gham Ki Sham Likha
Tu jidhar jaae, bikhre khusboo,
Ho jaae diwani har nazar,
Tere aane se kya sakoon mile,
Kya shae hai tu, Kya tera asar...
akele jeene ki adat to pehle say thi...

jane q tanhai mehsos ho rahi hy us k jane k baad..
Aisa Lagta Hai Zindagi Tum Ho
Ajnabee, Kaise Ajnabee Tum Ho?
Main Zameen Par Ghana Andhera Hoon
Aasmaanon Ki Chaandini Tum Ho
Ab Koi Aarzoo Nahin Baakee
Joostjoo Meree Aakhree Tum Ho
Doston-Se Wafa Ki Ummeeden!
Kis Zamaane Ke Aadmee Tum Ho?
KAHAN A DOST CHALTE JA RAHE HO
BAHOOT AAGE NIKELTE JA RAHE HO

CHALE JAOW MAGAR YEH TO BATAOW
YEH RESTE KION BADALTE JA RAHE HO.
Mohabbat
K Sapney
Dekhata Boht Hy,

Wo Raaton
Ko Mujh Ko
Jagata Bhi Boht Hy,

Me Aankhon
Me KajaL
Lagaon Tu Kese?

In Aankhon
Ko ZaLim RuLata Bhi Tu Boht Hai...
deti rhi fareib taray payar ki nazar...

tu ne meri wafa ko tamasha bana dia....
Ilfaz kuch nhi kahte andaz-e-bayan bulta ha
Har shab mere ander daba insan bulta ha
Baton mein uski zara b pyas nahi hoti
Bus une ik pyasa insan bulta ha
Ek lamhe mai uss ne zindagi ujaar di,Ek lamhe mai uss ne zindagi sanwaar di,Qasoor uss ka nahi mera tha jo in hi dou lamhoun mai zindagi guzaar di.
Khaak Urti Hy Raat
Bhar Mujh Main

Kaun Phirta Hy
Dar-ba-Dar Mujh Main

Mujh Ko Mujh Main
Jaga Nahi Milti

Koi Mojood Hy Is
Qadar Mujh Main ...
Nazar Main Zakhm-e-Tabbasum Chupa Chupa k mila
Khafa To Tha Wo Magar Mujhse Muskura k Mila

Wo Humsafar K Mere Tanz Pe Hansta Tha Bohat
Sitam Zareef Muje Aaina Dikha Ke Mila

Mere Mizaj pe Hairan Hai Zindagi Ka Shaoor
Main Apni Moat Ko Aksar Gale Laga K Mila

Main Us Se Mangta Kia Khoon Baha Jawani Ka
K Wo Bhi Aaj Muje Apna Ghar Luta k mila

Main jisko Dhoond Raha Tha Nazar Ke Raste Main
Mujhe Mila Bhi Tou Zalim Nazar Jhuka K Mila

Main Zakham-e-Zakham Badan Le K Chal Dia
Wo Jab Bhi Apni qabar Per Kanwal Saja K mila,
Manzil Zara b Door Na Thi Us Nishan Se

Thak k Gira Tha Jahan Parinda Uraan Se

Barish ki Dua is Liye Me Mangta Nahi

K Darya Bohat Qareeb He Mere Makan se..