Kante Meri Anaa K Mujhe Rokte Rahe,
Main Us Ki Gali se Ban K Dewana Guzar Gaya,
Main Wo Shakhs Tha Jo Hiqarat Ki Aankh Se,
Darya Ko Dekhta Huwa Piyasa Guzar Gaya...
Aako....
mana k mera katil bhi wohi tha.
saray shehr mai tarif k kabil bhi wohi tha.
kehta tha apna hoon apno mai rahuga
bani jo saf e ghair to sab se aage bhi wohi tha.
main yeh nahi kehta
key koi dil main na samaye
main yeh nahi kehta
key koi Aarzoo na ban paye
par.......! itna zaroor kehna hai
agar samajh sako
key dil main kabhi kisi ko
itni jagha na do
key dil key liye dharakna hi
mushkil ho jaye