Aansu aankhon se girnay ka takaza na karo,
Ru''Ba''Ru un k mujhe itna bhi ruswa na karo,
Zakhm sehnay ki sakat bhi nahi ab to dil mei,
Dard barhta hai mujhe pyar se dekha na karo,
Charah sazo ye mera dard nahi qismat hai,
Jhuti taskeen se mere gham ka madawa na karo,
Pyar to de na sakay yadain hi dete jao,
Chornay wale mujhe itna bhi tanha na karo,
Nazah k waqt "SaaMer" to na lo naam unka,
Aakhri waqt mei to pyar ko ruswa na karo.
Woh Keh Gaye Ki Mera Intezaar Mat Karna,
Main Kahu Bhi To Muj Pe Aitbaar Mat Karna,
Wo Kehte hai Ke Mujhe Tumse Mohabaat Nahi,
Par Tum Kisi Aur Se Pyaar Mat Karna…..!!!
Ek ladki chali jaa rahi thi,
Ek ladke ne awaz di,
O deewani sun!
Tera dupata zamin say,
ghaseeta jaa raha hai,
Ladki boli O deewane
Tou kya jaane?
Yeh bhi apna farz nibha raha hai,
koi choom na lay,
Mere qadmoon ki mitti ko.....
Isi liye nishan mittata jaraha hai..