Kuchh adhuri khwahishon ka silsila hai zindagi,
Manzilon se ek musalsal fasala hai zindagi !
Mere darwaze pe dastak de ke chhup Jane ka khel,
Kab talak khelegi eh kya bachpana hai zindagi !
Tere afsane to mai sunta raha Hun baraha,
Naam kya tune kabhi mera suna hai zindagi !
Zinda Hun doston ki duaaon ke bawajud,
Roshan hai kitani tej hawaon is zindagi !
Kaash koi hum par bhi pyar jatata,
Hamari aankhon ko apne haathon se chhupata.Hum jab poochte kaun ho tum?
Muskura kar woh apne aapko hamari jaan batata.
zindagi ki musafat main
khoshion ki chahat main
mausmon ki manind
lehjay badal jatay hain
sukhay paton ki tarhan
waday toot jatay hain
yunhi saath chalnay walay
rasta badal jatay hain
kion zindagi ki musafat main
zindagi se payaray log
choot jatay hain
humain vo bhool jatay hain