Salam_e_mohabbat

Salam_e_mohabbat
Salam_e_mohabbat
Bara khubsurat
Bara dilruba hay
Jabhi to meri jaan
Machalta huwa dil
Tumain kah raha hay salam
Salam_e_mohabbat

Yeh kiya berukhi hay
aji kuch to bolo
Kaheen yeh khamoshi
Sada ban na jaye
Meri jaan tumari
Yehi beniyazi bilakhir
Peamein wafa ban na jaye
Is inkaar main bhi
Tumari raza hay
  

Jun, 01 2010     321 chars (3 sms)     3974 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Qiyamat khez hain aankhen tumhari!!
Tum aakhir khawab kis k dekhte ho...
Teri ulfat ko kabhi nakam na hone denge teri dosti ko kabhi badnam na hone daingayn meri zindagi me suraj nikle na nikle teri zidagi me kabhi sham hone na denge
Janey Us Shakhs Ko Ye Kaisa Hunar Ata Hai
Raat Hotay Hi Meri Aankh Main Utar Jata Hai

Main Us K Khyaal Se Niklon Bhi To Kaisay
Wo Meri Soch K Her Raastay Per Nazer Ata Hai
wafa ishk ki mohtaaj nahi hoti,
har gham k peeche judaai ki baaraat nahi hoti,
yaha hoth nahi nam aankho me mohabbat ka afsaana hai,
jo kahi jaa sake wahi hap dam baat nahi hoti........
Tumhara Dil Kabhi Pighle Agar Gham ki Hararat se.
Tumhe maloom ho jaye ga rona kis ko kehte hain.
Mera Shaaur Behalta Nahien Hai Lafzon Se
Mein Tere Khatt K Nahin Tere Intizar Mein Hoon
hum na samjhe nazroon ki taqaza kya hai... kabhi jalwa kabhi parda ye tamasha kya hai... mujh ko madhosh sa ker rakhi hai tere aankhon ne ... warna ae saaqi tere mah khane mien rakha kye hai.... dehk laila tere majnoo ka kaleja kya hai... khak mien mil k kehta hai k bigra kya hai... ye surahi sa badan le k mare samne na aa.... main sharabi hoon sharabi ka bharosa he kya hai....
Mujhe khabar thi
zamana chahay bura hi samjhe
bhalay se ghar main mukhalfat ho
tumharay logoN ko na-pasand ho
tumhaiN to mujh per yaqeen ho ga
magar mujhay kuch khabar nahi thi
tumhari aaNkhoN ki unsiat bhi
ik ajanabiat se dekhti hai
ye waqt mushkil tareen hai na
suno!
main majboor ho gaya hooN
ye sochne per......... ye poochne per
tumhain to mujh per yaqeen hai na??...
Jab bhi tanhai ne unko sataya hoga
Tab tab unko mera khayal aaya hoga
Gam ye nahi ke who bhul gaye humko
Gum ye hai ke ro ro kar bhulaya hoga
Gham me hasne walo ko kabhi rulaya nahi jata,
lehro se pani ko hataya nahi jata,
hone wale ho jate hain khudhi dil se apne,
kisi ko kehkar apna banaya nahi jata
Aashna Hote Hue Bhi Aashna Koi Nahi
Jante Hain Sab Mujhe Pehchanta Koi Nahi
Mukhtaser lafzon Mein Ye Hain Mizaj-E-Dosti
Rabta Beshak Hai Sabse Wasta Koi Nahi
hijr mujhay raas ana hi tha,
kisi tarha sahi usay bhulana hi tha!