duaa karo ki ye paudhaa

duaa karo ki ye paudhaa
duaa karo ki ye paudhaa sadaa haraa hii lage
udaasiyon se bhii cheharaa khilaa-khilaa hii lage

ye chaaNd taaron kaa aaNchal usii kaa hissaa hai
koii jo duusaraa oDhe to duusaraa hii lage

nahiin hai mere muqaddar men raushanii na sahii
ye khiDakii kholo zaraa subah kii havaa hii lage

ajiib shaKhs hai naaraaz hoke hansataa hai
main chaahataa huuN Khafaa ho to vo Khafaa hii lage
  

Jun, 02 2010     392 chars (3 sms)     2532 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

''ALI'' Ada he to doulat hy Mah-jabino ki

jo Bay Rukhi Na Kary ,wo Pari JamaL Nahi.....
Baroz-e-Hashar me
be-khof
ghuss jaon ga JANNAT mein,

Wahin sy aaey thy "AADAM" wo mery baap ka ghar hy.

(ALLAMA IQBAL)
Teri nafarat mei woh dam nahi,
Jo meri chahat ko mita de,
Yeh mohabat hai,
Koi khel nahi jo koi haske bhoola de...!
Abhi Is Taraf Na Nigah Kar Main Gazal Ki Palkain Sawaar Lon.

Mera Lafz Lafz Ho Ayina Tujhy Ayine Main Utaar Lon.
Dewana hai tere naam ke is baat sa inkar nahin kasa kaha humha aap sa pyar nahin kuch tu kasoor aap ki adaa ka ha hum aakla tu gunhegar nahin
Kaisey kaisey haadsey sehtey rahey
Phir bhi hum jeetey rahey hanstey rahey

Uss key Aajaney ki yon umeedein lye
Rasta Murr Murr key hum taktey rahey

Waqt tu guzara magar kuch iss tarhan
hum chiraghon ki tarhan jaltey rahey

Kitney chehrey they humarey aas paas
Tum hi Tum dil mai magar bastey rahey



Kaisey kaisey haadsey sehtey rahey
Phir bhi hum jeetey rahey hanstey rahey
Zara Aagey Chalo Ge Tou Izafa Ilm Mein Hoga

Mohabbat Pehly Pehly Be-zarar Mehsoos Hoti Hy (:
teray ird gird hain ghomtay,meri zindagi k mammley...

tujhey dhund lenay k shauq mein,mai ne apna aap ganwa dia.
Na puch mere sabar ki inteha kaha tak hai,

tu sitam kar le teri takat jahan tak hai,

wafa ki umeed jinhe hogi unhe hogi,

hume to dekhna hai tu bewafa kahan tak hy
yah kuch kam hay kay bassa hay mari sansoon main.
woh samnay ho mari ankhoon kay zarori to nahi.
"ZINDAGI"

Baray dukh bharay hain jana meri zindgi k lamhe
gar ho sakay to sunna meri dastan khudara

na mil sak athikana meri bekraryoon ko
kahin ro k raat kati kahin ro k din guzara.
Kanton Se Guzer Jana Sholon SE Nikal Jana
Phulon Ki basti Mein Jana To sambhal Jana
Din Apni Chiraagon Ki Maanind Guzarte Hain
Har Shab Ko Bujh Jana Her Shaam Ko Jal jana
Bachon Hi si Fitrat Hai Ham Ahl-E-Mohabbat Ki
Zid Kerna Machal jana Phir Khud Hee Sambhal jana
Woh Shaks Bhala Mera Kia Saath Nibhaye Ga
Mosem Ki Tarah Jis ne Seekha Hai Badal Jana