Kar K Aankhe Nam

Kar K Aankhe Nam
Kar K Aankhe Nam,Kya Dikhana Chahti He Zindgi?

Dekar Itne Gum,Kya Sikhana Chahti He Zindgi?

Pehle Mila Kar Fir Taqdeer Me Likh Deti He Judaai,

Ye Dard-E-Dil Se Hume Kya Mitana Chahti He Zindgi.
  

Jun, 02 2010     202 chars (2 sms)     2545 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Mairay Sabar Ka Na Lay Imtihaan Mairee Khaamoshi Ko Sadaa Na Day
Jo Tairay Baghair Na Jee Sakay Uusay Jeenay Ki Too Duaa Na Day,

Too Azeez Dill-o-nazar Say Hay Too Qareeb Rag-o-jaan Say Hay
Mairay Jism-o-jan Ka Yeh Faaslaa Kaheen Waqt Aur Barhaa Na Day

Tujhay Bhool Kay Na Bhulaa Sakoon Tujhay Chah Kay Bhee Na Paa Sakoon
Mairee Hasratoon Ko Shumaar Kar Mairee Chahatoon Ka Silaa Na Day,

Wo Tarap Jo Shula-e-jaan Main Thee Mairay Tan Badan Say Lipat Gai
Jo Bujha Sakay To Bujha Isay Na Bujhaa Sakay To Hawaa Na Day,

Tujhay Gar Mailain Kabhee Fursatain Mairee Shaam Phir Say Sanwaar Day
Gar Qatal Karna Hay To Qatal Kar Yoon Judaaiyoon Ki Sazaa Na Day.
Tu Ne Wafa Ki Khaas Koi Guftugu Na Ki

Aur Maine Bhi Dil Ki Baat Tere Rubaroo Na Ki

Tu Bhi Tamam Umar Dhoondta Raha Mujhe

Maine Bhi Tere Baad Koi Justuju Na Ki
yeh rakh rakhao muhabt sikha gayi hai use..

kah wo roth k bhi mujh se muskura k milta hai..
Tere mohabbat mein meri aakhri saans tak mitadoon,
Bas ek pal uss aakri saans se pehle , mere dil ki baat.. tujhse ikraar
kar jaoon.
kash koi parhta meri nazron se pegham-e-mohabat''

umar guzri hai iqbal lafzon ko ashaar kartey...
mudaton baad usay pa kr us raat.

itna roya k sochon to hansi aati hai..
Yaadon Mein Teri Yaad Thi
Kya Yaad Tha
Kuch Yaad Nahi
Teri Yaad Mein Sab Kuch bhool Gaye
Kia Bhool Gaye Kuch Yaad Nahi
Bus Yaad Ho Tum
Kyun Yaad Ho Ye Yaad Nahi
bus itna hi kaha tha hum barso k piyasey hain.
honto ko us ne choom kar khamosh kar dya.
main kis terha zikar karo us muhbat ka.

jo meri maa ne mujh se bachpan main ki thi.
log kehtey hein kabhi pyar na karna, kar lo to phir izhar na karna, aur agar izhar b kar lo agar tum, to uss sey kabhi takrar na karna,tum khud hee ho mamar(mason)apni subho sham k, iss liye kabhi kissi ka intizar na karna
Aisi Hawa Chali Sab Phool Jal gaye
Sab Se aziz Log B Kitne Badal Gaye
Uss Ke Begair Kis Ko jeenay Ka Guman Tha
Hum Khud B Sochte Hain K Kese Sanbhal Gaye
yeh anssoo b ajeeb hotey hein,
jin k door honey pe behtey hein wo to dil k qareeb hotey hein,

aur har aik k muqaddar mein kahan hotey hein,
jo rotey hein haqeeqee woh to khush naseeb hotey hein