Bhujay bhujay say ajeeb din hain

Bhujay bhujay say ajeeb din hain
Bhujay bhujay say ajeeb din hain
Khuwab hai na khayal koi
Na mnzaron mein koi kashish hay
Na mosamon mein jamal koi
Hum aik doojay ko apni apni
Adhoori ankhon say dekhtay hain
Hamari barson ki chahaton par
Utar raha hai zaawal koi
Jo hasna chahein tu ashk niklein
Jo rona chahein tu hanstay jaein
Hamary jazbaat girvi rakh kar
Bana raha hai missal koi
  

Jun, 02 2010     363 chars (3 sms)     2436 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

udasion mein jeena adat ban gai hai.

jin se umeed thi yad rakhne ki wohi bhool gaey
tumhari shairi sari meri tareef tahri hai.

jese sun kar main khuwabon ki c kafyet main kho jao.
"Kisi" ki yaad ne Zakhamon se bhar dia seena,
~/FARAZ/~

Hr aik saans pr shak hai
k Aakhari hogi !!!
Tere khushboo main basay Khat main jalaataa kaise
Piyaar main doobe huwe Khat main jalaataa kaise


Jin ko duniyaa kii nigaahon se chhupaaye rakhaa
Jin ko ik umr kaleje se lagaaye rakhaa



Saalahaa-saal mere naam baraabar likhe
Kabhii din main to kabhii raat main uthakar likhe


Piyaar main Doobe huwe Khat main jalaata kaise
Tere haathon ke likhe Khat main jalaata kaise
Chahye Hue Thay Badal Lakin Berse Nahi
Dard Bohat Tha Dil Mein Par Hum roye Nahi
Koi Na Hamara Jo Humse Poche Ke
Jag Rahe Ho Kisi K Liye Ya Kisi Ke Liye Soye Nahi
taamul to tha unn ko aane mein a qasid...

mgr ye bta tarze inkar kia tha.
Faraz Nay Is Khayal Say Tasbih Hee Tor Di

Kya Gin K Uska Naam Loon Jo Behisab Day
Aik Pal Chain Se Soya B Nahi Jata
Kia Kerain Toot K Roya B Nahi JAta
Khuwab Ashkon Ki Tarah Aankh Se Jarr Jate Hain
Kia Kerain tere Begair Jia Nahi Jata
Wo mere masoom tabasum pay yunhi rashk nahi karta Ali

Usnay shayad mere Dil k Ghao ko dekh lea hoga...
Kuch Aise Log Jo Khaas Bohat

Jo Ahem Bhi Hon Aur Pyare Bhi

Tareef Main Jin K Lafz Na Hon

Tou Aam Se Lafz Hum Likhai''n Kyun

Kuch Safhay

Kuch Line''n

Kuch Warq

Kyun Na Khaali Rehne De''n

Aur

Aise Pyare Logo''n Ko

Sirf

Dil Main Apne Rehne De''n ...
jitna b usko sochoon utna hi door paoon,
jitna b usko chahoon khud hi bikharti jaoon,
may aam c musaafir be aas be sahara,
wo door kahin basta ek aasman ka tara,
may rait se ulajhti sehraon ki hawa hun,
wo sahilon pe chalti baad-e-saba ka jhonka,
han farq to bohat hai, pr baat ye faqt hai,
may lakh toot jaoon,khud se hi rooth jaoon,
pr ye na hoga mujh se, k may usko bhool jaoon...!
Bohat Mubat se aisa ha,
Ke Tum khamosh rehtay ho,
Koi Gehra hai ghum shayad,
Jisay chup chap sehtay ho,
Yunhi chaltay huay tanha,
Koi Ghamgeen sa naghma ho,
Doran-e-guftagoo younhi,
Milen nazron se jab nazren,
To batain bhool jatay ho,
Kisi gumsum si halat mein,
Ya phir barish ke mosam mein,
Faqat itna he kehtay ho,
Udasi be-waja si hay,
Bohat bojhal si tabiyat ha,
Bhala such kuen nahi kehtay,
Tumhen mujh se Mohabbat ha,