Jiski jhankar mai dil ka aram tha wo tera naam tha...
Mere honto pe raqsan o ek nam tha wo tera naam tha...
Mujh se mansoob thee dastane kaee,
khubsurat magr jo ilzam tha wo tera naam tha...
Subha se sham tak jo meray pas thi wo teri aas thi,
sham k baad jo lab-e-bam tha wo tera naam tha....
Teri qurbat mili tera sahara na mila,
karib pahuch kar sahil ka kinara na mila,
dekhte rahe hum apni hatheli,
magar mujhe apni kismat ka sitara na mila.
Ao janch letey hn durd k tarazo pr
kisk gham kaha tak hain.
Shidtain kaha tak hn
kuch azez logo se pochna to perta h
aj kal muhabt ki qimtain kaha tak hn
Aj sham ajao khul k hal_e_dil kah lain kon jane sanso ki muhltain kaha tk hn.