tumko hum dil me basa

tumko hum dil me basa
tumko hum dil me basa lenge, tum aao to sahi
saari duniya se chupa lenge tum aao to sahi

ek waada karo ab humse na bicHDoge kabhi
naaz hum saare utha lenge tum aao to sahi

bewafa bhee ho sitamgar bee jafa pesha bhee
hum khuda tumko bana lenge tum aao to sahi

raah taarikh hai aur door hai manzil lekin
dard ki shamme jala lenge tum aao to sahi
  

Jun, 02 2010     358 chars (3 sms)     3043 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

A khuda mujhpar 1ehsan krde,Unke Dil k pure sab arman krde,Unki khushi k liye agar kisi ki Zindgi chahiye to der na kar mujhe bejaan krde...
Aksar pyar karne wale apne pyar ki tarif karte hain,
taki woh unse juda na ho jaye,
hum isliye khamosh rehate hain,
taki un pe koi aur fida na ho jaye..!!
Masroof Hain Din Raat Unhain Waqt Kahan Hai
WO Karain Humse Baat Unhain Waqt Kahan Hai
Wo Ponchain Meri Aankh Se Behte Hue Aansu
Ae Ronaq-E-Bersaat Unhain Waqt Kahan Ha
Aap Hi Apni Adao''n Pe Zara Ghour Karain Faraz,


Hum Agar Arz Karain Gey Tou Shikayat Ho Gi...
Vishwas ki ek dor hai ye mohabbat,

Har dilki majburi hai ye mohabbat,

Na mano to kuch bhi nahi aur maano to,

Khuda ki bhi kamzori hai ye mohabbat........;->
Chaand Ho Jesay Sitaron Say Allag
Esay Neainon Mein Haya lagti Hay

Teri Qurbat Mein Juki Si Nazar
Aik Masoom Si Dua Lagti Hay

Marhala Moat Ka Mushkil Magar
Zindgi Es Kay Siva Lagti Hay
Tum Mosam Mosam Lagty Ho,
Jo Pal Pal Rung Badlty Ho,
Tum Sawan Sawan Lagty Ho
Jo Sadiyon Bad Barsty Ho,
Tum Sapna Sapna Lagty Ho
Jo Mujh Ko Kam Kam Dikthy Ho,
Tum Pal Pal Mujh Se Larty Ho
Phr B Achy Lagty Ho
Baat To Hai Sharmele C.
Par Kehny Ko Dil Chahta Hai
Lo Aj Tumen Ye Keh Dala
Tum Apny Apny Lagty Ho
Tere sajde kahin tujhe kafir na kr den,
MOHSIN,

Tu jhukta kahin aur hai
AUR,
sochta kahin aur.....
dil dharakne ka sabab yaad aya
wo teri yaad thi ab yaad aya

haal e dil hum bhi sunatey lekin
jab wo rukhsat hua tab yaad aya

bari mushkil se guzara tha ye din aey dost!
phir tera waada e shab yaad aya

beth kar saaya e gul main NASIR!
hum bohot rooye wo jab yaad aya
Ek umer ke baad uss ko dekha !
Aankhoon mein sawaal thay hazarooon
Hontoon pe magar wohi tabbassum !
Chehrey pe likhi hui udaasi
Awaaz mein gunjti judaiiiii
Baanhein theen magar wasaley samaa !
Dil Lagi Thi Usey Hum Se Mohabbat Kab Thi
Mehfil-e-Gair Se Un Ko Fursat Kab Thi
Hum Thay Mohabbat Main Lot Jane K Qabil
Us K Wadoon Main Wo Haqiqat Kab Thi…
aj to be-sabab udaas hy ji...

ishq hota to koe baat b thi...