Aisi Hawa Chali Sab Phool Jal gaye
Sab Se aziz Log B Kitne Badal Gaye
Uss Ke Begair Kis Ko jeenay Ka Guman Tha
Hum Khud B Sochte Hain K Kese Sanbhal Gaye
Guzar gaye woh chaman se bahar ki tarah,
aankhon main bas gaye hai intezaar ki tarah,
kaise bhula de unhe hum apni yaadon se,
unhone inkaar bhi kiya izhaar ki tarah...
Gumrah howa wo shaks raah dikhanay wala,
Raah bhola koi ghar ko janay wala
.
Jis yaad main Bilal hum roey bohot thy,
Aaj roya Bohot Mujh ko Rolanay wala
Soo baar Chaman Mehka
Soo Baar Bahar Aye
Duniya Ki Wohi Ronaq
Dil Ki Wohi Tanhai
Yeh Raat Ki Khamoshi
Yeh Alam-E-Tanhai
Phir Dard Utha Dil Mein
Phir Yaad Teri Aaye
Iss Alam-E-Veran Mein
Kia Anjuman Aarai
Do Roz Ki Mehfil hai
Ek Umer Ki Tanhai
Her Dard-E-Mohabbat Se
Uljhi Hai Gham-E-hasti
Kia Kia Hamain Yaad Aya
Jab Teri Yaad Aye
Osay kabhi na kabhi to bicher hi jana tha
Ye haadsa bhi meri zindagi main aana tha
Wo aik shaks mujhey sari umer tarsay ga
Naseeb us k......k us ne mujhy gawana tha