Ek Yahi Aas Hii Kaafi

Ek Yahi Aas Hii Kaafi
Ek Yahi Aas Hii Kaafi Hy Mere Jeene Main

Dil Nahi Aap Dhadakte Hyn Mere Seeney Main
  

Jun, 02 2010     87 chars (1 sms)     2948 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

ab bujha do ye siskti yadoon k chiragh,

in se kab hijar ki raton me ujala ho ga.....,
Woh Nadiyan Nahi Aansu They Mere
Jinpar Woh Kashti Chalate Rahe
Manzil Mile Unhein Yeh Chahat Thi Meri
Isliye Hum Aansu Bahate Rahe
UNHE KISSA-E-GAM SUNATE SUNATE
KATI RAATEIN AANSU BAHATE BAHATE

KAHI BUJH NA JAYE CHIRAAG-E-TAMANNA
CHIRAAG-E-MOHABBAT JALAATE JALAATE

KISSI KO KHABAR HI NAHI LUT GAYAA HU
MOHABBAT KI DUNIYA BASATE BASAATE

KEHDE KOI UNSE.....
WO KHUD BAAZ AAYE APNE SITAM SE
HUM THAK GAYE HAIN MANATE MANATE
taluq baad main tabdeel ho ker jo bhe reh jaaye,

mohabbat main woh pehla muskerana yaad rehta he,

kisi ki laakh baatein aik pal main bhool jaati hain,

kisi ka aik hee jumla purana yaad rehta he !
Parhte rhye logon ki payar ki kahnyan or dastanain.

bardi harani hovi kal shub apni hi dairy mia ek phool or ansu dakhe.
Wo Mujhe Aazma K Chor Gaye
Mere Dil Ko Dukha K Chor Gaye

Ab Koi Raasta Nahi Milta
Wo Kahan Mujhko Laa Kar Chor Gaye

Dil Se Unko Diya Tha Jo Tohfa
Maiz Par Muskura K Chor Gaye

Unka Poochun Pata Me Kis KIs Se
Wo Jo Apna Bana K Chor Gaye
agar pata hota kh tum aao ge yadon main.

tu hum sanwrte or sajte zaror...
uski aankhon main koi dukh basa ha shayad.

ya mujhay khud hi koi waham howa ha shayad..

main ne pocha ke bhool gaye ho tum bhi..

pouch k aankain us ne mujh se kaha shayad..
Aaj rothay huway sajan ko bohat yaad kiya
Apnay ujray huway gulshan ko bohat yaad kiya
Jab kabhi gardish-e-taqdeer nay ghera hai hamein
Gaisuay yaar ki uljhan ko bohat yaad kiya
Shama ki joot pey jaltay huway parwano nay
Ek teray shula-e-daman ko bohat yaad kiya
Jis k mathay pey nae subah ka jhoomar ho ga
Hum nay us waqt ki dulhan ko bohat yaad kiya
Aaj totay huway seeno ki bohat yaad aei
Aaj beetay huway sawan ko bohat yaad kiya
Aaj sar-e-toor bhi mayoos-e-tajali hi rahi
Aaj daar-e-yaar ki chilman ko bohat yaad kiya
Mutmaen ho he gay dam-o-qafas mein sagar
Hum asseron nay nasheman ko bohat yaad kiya
Ho Sakta Hai Ki Hum Saath Reh Na Paaye
Ek Dusre Se Kuch Keh Na Paaye
Itni Nazdkiyaan Na Badayiye Hum Se
Ki Hum Duriyon Ko Seh Na Paaye
ager kisi se bichrna itna asaan hota to...

jism se rooh ko leney frishtey kabhi na aatey...
is terhan hoti hai barish koi andar andar
jese rota ho koi chup ke yahan sham ke bad