Meri Tanhaaiyon

Meri Tanhaaiyon
Meri Tanhaaiyon Tum Hi Lagaa Lo Mujko Seene Se...,
Ke Mein Ghabhra Gayaa Hun..
Is Tarah Ro Ro Ke Jeene Se..!!!
  

Jun, 02 2010     113 chars (1 sms)     1909 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

kuch iss qader bhi tu asaan nahin ishq tera
yeh zher dil main uter ker hi raas aata hai

main tuj ko pa k bhi khoya hua sa rehta hoon
kabhi kabhi tu mujay tu ne theek samja hai

mujay khaber he k kiya he judainyon ka aazab
k main nain shakh se gul ko bechirtay daikha hai

main muskura b para hoon tu kiyon khafa hain ye loog
k phool tooti tooti hoi kaber pe bhi khilta he

ussay ganwa k main zinda hoon iss tarha mohsin
k jaisay taiz hawa main charagh jalta hai
Utha kar pho0l ki patti nazakat se masal dali...
Phir Ishare se kaha hum dil ka aisa hal karte hain
Mere Hum Safar Kisi Roz tu
mere paas a mere ru ba ru

kisi roz sun meri guftagu
meri chahato me base huye

mere ansuon se bhare huye
meri shab k lamhe shumaar kar

meri zindagi na azaab kar
woh lafz tere jo nayab hon

wohi lafz mere naam kar
mujhe leke tu kahin door chal

zara haath mera tham kar
mere hum saafr kisi roz tu

mere pas a mere ru ba ru
meri khawahishon ko umeed de

meri zindagi ko naveed de
hasrat hai kabhi un ko nazdaik se daikho...

nazdaik hoon to aankh uthai ni jaati...
Mere Shikw0n Per Usne Hans K Kaha,"Faraz"

Kis Ne Ki Thii "Wafa" Jo Hum Karte...
mujhe ata tu nahi hai muhabat kerni...

kounk main maa se aksar naraz rahta hun...
Intezar Hota hai har Sham tera
Her raat kati hai le Kar Naam Tera
kafi Dino Se Dil Main Ek Umeed Hai
Kabhi Tou Ayega Pyar Bhara Paigam Tera
Iss jahan mein mohabbat kaash na hoti
Toh safar-e-zindagi mein mithaas na hoti
Agar milti BEWAFA ko sazaaye maut
Toh deewano ki kabre yun udhas na hoti
koi dukh na ho
koi gham na ho
koi ankh kabi num na ho
koi dil kisi ka toray na
koi sath kesi ka choray na
bus pyar ke nadiya bahti ho
kash k dunya asi ho!!!
Ho chuki hai raat bahot ab so bhi jaayeye
Jo hai dil ke kareeb uske kahayalon mein bhi kho jaayeye
Kar raha hoga koi intezaar aapka
Khawabon mein hi sahi mil to aayeye
Mujhe Tasleem hai tum ne Muhabbat mujh se ki ho gi,
Zamane ne magar Izhar ki Mohlat na di ho gi,
Mein apne aap ko sulgha raha hon isi tawaqu par,
Kabhi to AAG bharke gi
Kabhi to ROSHNI ho gi.....!
chamun, gulzar, baghaat bhi koi sajata he
in me kalion aur phoolon ki mehfil khuda lagata he
in kalion aur phoolon se barh kar tum sahi
bhala itna chahnay wale ko bhi koi tarpata he..